ankhain SMS Messages111 messages

Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marta Hoon
Woh ankhain Jheel Se ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharta Hoon
Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain
Sarey Jahan Main Aise ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marta Hoon
In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi
Sada Muskurate Rahain Yeh ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karta Hoon
Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marta Hoon
ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari ankhain .
Meri Ankhon ki thandak hain,Teri yeh Qatil ankhain.
Ho gaya hoon behoosh iss hoosh ki Dunya main
Jabh say daikhe hain main nay ,Teri yeh Qatil ankhain.
Mian iss Hisaar say nikloon too kuchh aur soochun.
Meray diloo dimaagh pay havi hain ,Teri yeh Qatil ankhain.
Mujh ko lay-jaatin hain ik ajeeb se dunya main .
Jabh bhi daikhta hoon ,Teri yeh Qatil ankhain.
Shayed kay aa-jaay qarar meray pagal dil koo.
wagarna mujhay jeenay nahin dain ge,Teri yeh Qatil ankhain.
Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari ankhain.
shayed kay mil jain mujhay ,Teri yeh Qatil ankhain
Itna roya hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Adha Chand aur pUra dukh

jab se tum bichar gaey ho tab se

Adha Chand aGar dekhon to

mEri ankhain bhar aAti Hain.
Kyun Jaagte Ho ?

Kia Sochte Ho ?

Kuch Hum Se Kaho

Tanha na Raho

Socha Na KAro

Ab Raat Ki Aankhain Bheeg Chaliin

Aur Chaand Bhi Hai Chuph Jane Ko

Kuch Der Main Shabnam Aaye Gi

Phoolo''n Ki Pyas Bujhane Ko

Shadaab Shagoofo''n Ki Suurat


Khwabo''n K Nagar Main Kho Jao


Ab So jao . . . ! ! !

Ab So Jao . . . ! ! !
Sochta Hoon Jab Bhi Tumhare Bare Main
Aksar Yadd Ati Hain Tumhari Ankhaian

Wo Gehre Hare Samnder Jaisi
Koi Raz Chupai Tumhari ankhain

Khamosh Rehtain Hain Lab Ye Tumhare
Par Sab Kuch Kehti Hai Tumhari ankhain
Tumhari Aankhain Panion Say Bhari
Her Waqat Brasnay Ko Tayar

Samandar Say Gahri Aankhain
In Aankhon Say Ho Gaya Hay Payar
AB Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehar Bher Se To Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salamat Ab bhi
Kon Kehta HAi Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat Ye Hai K Koi Toot K Chahye To Sahi
Her Kisi Se To Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti