Mujh ko piyare hain meri

Mujh ko piyare hain meri
Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari Ankhain .
Meri Ankhon ki thandak hain,Teri yeh Qatil Ankhain.
Ho gaya hoon behoosh iss hoosh ki Dunya main
Jabh say daikhe hain main nay ,Teri yeh Qatil Ankhain.
Mian iss Hisaar say nikloon too kuchh aur soochun.
Meray diloo dimaagh pay havi hain ,Teri yeh Qatil Ankhain.
Mujh ko lay-jaatin hain ik ajeeb se dunya main .
Jabh bhi daikhta hoon ,Teri yeh Qatil Ankhain.
Shayed kay aa-jaay qarar meray pagal dil koo.
wagarna mujhay jeenay nahin dain ge,Teri yeh Qatil Ankhain.
Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari Ankhain.
shayed kay mil jain mujhay ,Teri yeh Qatil Ankhain
  

Jun, 03 2010     646 chars (5 sms)     3214 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chaahat dil mein hai pyaar aankhoon mein ,
Mohabbat hum mein hai aur tum hamare dhadkan mein.
Jab Kabhi Dil Ko Wo Yadon Se Rehai De Ga
Mere Ander Koi Toofan Sunai Dega
Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga
yeh jaan kar khushi hui k ussay b mere dukh dard ka ehsaas hai,

jana

aaj us ne keh jo diya aakhir tum mar kyun nahi jaate.
kuch Nahi chaiye Tujhse Aye meri Umre rawaan





mera Bachpan mera jugnoo meri Gudiya la de
Koi Dhoond Aisa
Humsafar

Jo Tujhy Mujh Se Barh
k Chah Saky

Tu Kahe Tou Raat Ho

Aur Wo Chanadni Luta
Saky

Tere Aansuo''n Ko Yun
Samait Le

K Koi Na Tujh Ko Rula Saky
Janay konse nagar ki cheriaya

Shaam mundayer pay aa bhati hai

Choonch may aik nazuk si daali

Us per aik sunehra phool

Jasay Ishq safar ki dhool
Meri Zindagi k Mizaj ka

yeh chiragh kuch naya nahi

kabhi roshni, kabhi teerghi

kabhi jala hwa, kabhi bujha huwa


Mri Zindagi bhi meri nahi

ye hazaaar khano ma bat gae

mujay ik mut-the zamein day

yeh zamein bhi kitni simat gae


yeh jo aag ki bail thee

mray tan badan say lipat gae

mujay siskion nay jaga dia

mri kache neend uchat gaee


JAHAN MERA LIKHA GIA

WAHIN ROSHNAI ULAT GAE
Us ki Bataein rothi rothi
Jis ka Lehja metha metha hei

Us ki Ankh samundar jaisi
jis ki Zaat mei sehra hai

Raat say Gehri soche us ki
Jis ka Rang Sunhera hai

Phool or Kaliyan Chunney wala
khud kion Bikhra Bikhra hai

Chand se Baatein karnay wala
Dekho kitna TANHA hai......
apni khamosh zindagi main bulana mujhko
apni haseen khuawab ki tasveer banana mujhko,
main jo puchun tumhara hal-e-dil,
to apni her dharkan ki awaz sunana mujhko
usko ankhon k dareeche se juda kaisay karoon,

wo meri zaat k har pehlu se bayaan hota hai...
Apno ko jab apne kho dete hai, Tanhaiyo me wo ro dete hai, Kyu in palko par bithate hai log unko, Jo in palko ko aksar aansuo se bhigo dete hai...
Takra hi gai meri nazar un ki nazar se
Dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se

Izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
Aisa na ho gir ja un kahin un ki nazar se

Ai zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
Jana hai kahan aur ham aye hain kidhar se

''Fayyaz'' ab aya hai junun josh pe apna
hansta hai zamana main guzarta hun jidhar se,,