ankhain SMS Messages111 messages

Iska Socha bhi na tha ab k jo tanha guzri
Wo qayamat hee gahnimat thi jo yakja guzri
Aa gale laga lon mere pyare dushman
Ek meri baat nahi tujh pe bhi kia kia guzri
Mein to sehra ki Tapish Tashna Labi bhool gaya
Jo Mere Ham-Nafson per lab-e-derya guzri
aaj kia dekh k bher aai hain teri aankhain
ham per yeh ghari hamesha guzri
meri Tanha safri Mera Muqadar Thi "Kaash"
Werna Iss Shehr-e-Tamana se to Dunia Guzri
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
Ghamon k Selaab Tu Pehle Bhi Bardasht kr Lete Thy ''ALI''

Par Ab Tu Ek Katray Se Bhi Aankhain Bheegh jati hAin
Dill chahey woh koi baat karey
jab dill kay taar tootey hon
jab saarey mujh say roothey hon
jab aankhain meri beeghi hon
dill chahey woh koi baat karey
hai payaar unko hum se itna tu yaqeen hai hume.
wo inkaar bhi karte hain tu ankhain saath nahi dati.
shumaar uski skhawat ka kua karen keh wo shakhs.
charagh bantta pherta haicheen kar ankhain.
^ WO husn-e-Mujassam kamal uski aankhain "
^ Sarapa-e-Mohabat jamal uski aankhain "

^ main jab b poochon sawal us se koi "
^Muje roz deti hain tall uski aankhain"

^jo bachey to do jahan de k le loon"
^Wo chehra wo zulfain wo gall uski aankhain "

^ Ager koi poochey k dunia main kia hai
^zamana de ga misal uski aankhain"

meri aur uski ankhein

kitni milti julti hain

ik jaisee rengut walee hain

farq hai to bus itna sa

meri aankhaon mein

rung hai uska

uski aankhain khalee hain!!
neend ko aankhain krib hone nhe deti.

achi hai uski yaad jo sone nhe deti.
Aaj bhe waisa hi mousam hai

aaj bhe waisy he badal hain

aaj bhe waisi hi barish hai

jub hum pehli baar milay thy

yaad hai,humne ye socha tha

humko milty dekh kr mousam

itna khush hai,itna khush k

es ki aankhain bheeg gae hain

magr aaj ye jaan gaey hain

k

mousam us din keun roya tha....
Lab kuch bhi kahe is se hakiqat nahi milti.
Insan ke such jhoot ki pehchan hain aankhain.
Khirki, chand, kitab aur main,
Mudat se ik baab aur main,
Shab bhar khailen apas me,
Do ankhain ik khwab aur main,
Mouj aur kashti sahil per,
Dariya me gardaab aur main,
Sham, udaasi, khamoshi,
Kuch kanker talaab aur main,
Har shab pakrey jaty hen "
Gehri neend, tery khwab aur main....!!