Aaj bhe waisa hi mousam hai

Aaj bhe waisa hi mousam hai
Aaj bhe waisa hi mousam hai

aaj bhe waisy he badal hain

aaj bhe waisi hi barish hai

jub hum pehli baar milay thy

yaad hai,humne ye socha tha

humko milty dekh kr mousam

itna khush hai,itna khush k

es ki aankhain bheeg gae hain

magr aaj ye jaan gaey hain

k

mousam us din keun roya tha....
  

May, 29 2010     317 chars (2 sms)     2551 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
wisl ho ya firaq ho mohsin,

jagna sari rat mushkil hi..
Is raat ki tanhai k
Sb rang badal gae hain!,
chaand nikla hai waise hi...!
Andhere badal gae hain,
manzilen to ab b whi hain.
Kuch raaste badal gae hain,
jin pe kia tha bharosa hm ne...
Wo log hm say bichar gae hain,
dekhe the jo kbi hm ne...
Wo khwab badal gae hain,
jo bane the kbi hamsafar...
Aj whi mukar gae hain
Is tote dil k sare
Jazbat badal gae hain.
Na badle kbi hm...
Na hmare khayalat...
Bus shikwa hai yhi."KUCH LOG" badal gae hain!..
Aks-e-khushboo hoon, bikharnay say na rokay koi
Aur agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi

Kaamp uth-ta hoon main yeh soch k tanhaee main
Meray chehray pe tera naam na parh lay koi

Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza
Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi

Main to uss din say harasan hoon k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi

Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi
neend ko aankhain krib hone nhe deti.

achi hai uski yaad jo sone nhe deti.
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Yun DIL Ko Har Ek Shaks Per Wara Nahi Karte
Aankhon Main Har Ek Aks Utaara Nahi karte
Honi Hai Toh Ek Baar He Ho Jaye Mohabbat
Yeh Bhool Hai Aisi Ke Doobara Nahi Karte
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa.
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein
Kisi Ke yadon ne pagal bana rakha hai
kahin mar na jao kafan sila rakha ha
dafnane se pehle dil nikal lena
kahin wo na dafan hojaye
jisy dil main chupa rakha ha
Bari Mushkil Me Hu mai kaise izhar kru

Tu to khusbhu Hai tujhe kaise Giraftar kru
Hum Sy Poochni Hy
Tou Sitaaro''n Ki Baat
Poocho

Khwabo''n Ki Baat Tou
Wo Krte Hyn Jinhe''n
Neend Aati Hy !!!