aankh SMS Messages740 messages

Jo aansoo na hote ankhon mei,
to aankhen itni khubsurat na hotin.
Jo dard na hota dil mei, to khushi ki koi keemat na hoti.
Jo bewafai na ki hoti waqt ne,
to wafa ki kabhi chahat na hoti.
Agar sochne se puri ho jatin muraaden to, dua ki kabhi zarorat na hoti.
Tum Ne Roti Hui aankho''n Ko Hansaya Aksar

Is Se Barh Ker Bhi Koi Aur Ibadat Ho Gi . . . ! ! !
Kyun Jaagte Ho ?

Kia Sochte Ho ?

Kuch Hum Se Kaho

Tanha na Raho

Socha Na KAro

Ab Raat Ki aankhain Bheeg Chaliin

Aur Chaand Bhi Hai Chuph Jane Ko

Kuch Der Main Shabnam Aaye Gi

Phoolo''n Ki Pyas Bujhane Ko

Shadaab Shagoofo''n Ki Suurat


Khwabo''n K Nagar Main Kho Jao


Ab So jao . . . ! ! !

Ab So Jao . . . ! ! !
Hanste Hue, aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yun Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Se aankhon Main Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Se Na Taqdeer Se
Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai In Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaayi Main Mera Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
Tumhari aankhain Panion Say Bhari
Her Waqat Brasnay Ko Tayar

Samandar Say Gahri aankhain
In aankhon Say Ho Gaya Hay Payar
Tum Jo Sath Ho Meray
Tum Jo Pass Ho Meray

Zindagi K Rango Mein
Ik Ajab C Shokhi Hai

Dil Mein Ik Sakoon Sa Hai
Aur aankh Mein Nami C Hai

Soch K Khizaon Mein
Raaj Hai Tarano Ka

Meri Har Subh-E-Naw
Moziyan Hai Ujalon Say

Roshan Hai Tareeki Bhi
Chandni K Haalon Say

Tum Jo Sath Ho Meray
Tum Jo Pass Ho Meray

Meray Jazbon Ki Yeh Gehraiyan
Sab Teray Hi Dam Say Hain

Jharno K Tarano Mein
Panchi Ki Urrano Mein

Jo Bhi Sehar Pan Hai
Teray Ehsas Ka Jadoo Hai

Tum Ko Tau Maloom Hi Hoga
Aisa Kis Waja Say Hai

Meri Subha Kyun Roshan Hai
Meri Raat Kyun Mozaiyan Hai

Tum Jo Sath Ho Meray
Tum Jo Pass Ho Meray
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij''r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh''m Bharey ka Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !
Janey Us Shakhs Ko Ye Kaisa Hunar Ata Hai
Raat Hotay Hi Meri aankh Main Utar Jata Hai

Main Us K Khyaal Se Niklon Bhi To Kaisay
Wo Meri Soch K Her Raastay Per Nazer Ata Hai
Dil Chahe Dekhna Unhe To Batao aankho Ka Kya Kasoor
Har Pal Mahsoos Ho Jo Unki Khushbu To Sanson Ka Kya Kasoor

Vaise To Har Khowab Pooch K Nahi Aate
Magar Har Roz Unka Khowab Aaye To Raton Ka Kya Kasoor
Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,

Mere baad na aankho se moti bahana tum.

Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,

Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.
Ek Andekhi Si Surat In aankho Main Rehti Hai
Jis Say Kabhi Mili Nahi Phir Kiyon
Yeh Nigaahain Un Say Milnay Ko Tarasti Hain

Main Jo Ek Murat Dil Main Banae Betha Hoon
Kiya Maalum Kay Shayad Yeh Nigahain
Usi Ki Talaash Karti Hai
zindgee Kay Safar Main
Koi Bhi Raasta Naheen Daita
Zameen Waqif Naheen bantee
Falak Saya Naheen Daita

Khushi Aur Dukh Kay mausam
Sab Kay Apnay Apnay Hotay hain
Kissee Ko Apnay Hissay Ka
koi Koi Lamhaa Naheen Daita

Udaasee Jis Kay Dil MAin Ho
Us''see Ki Neend Urrtee Hay
Kisi Ko Apnee aankhoon Say
Koi Sapna Naheen Daita

Utthana Khud Hee Parrta Hay
Thakaa Tootta Badan Apna
Keh jab Tak Saans Chaltee Hay
Koi kaadhaa Naheen Daita