aankh SMS Messages740 messages

Ye Kon Aansoun ki Saza De Giya Mujhe
Jeeny Ki Jate Jate Dua De gia Mujhe
aankhon Mein Mere Kab Se Hai Tofan Rakha Hua
Khul K Na Berse Aesi Ghata De Gia Mujhe
Mazi K Roz-O-Shab Ko Bhoolon To Kis Tarah
Khushion ka Karb-Naak Sila De Gia Mujhe
Maqooz Ho Chuka Tha Mera Piyar
Kuch Soch Ker Hee Dard-E-Wafa De Gia Mujhe
Aj Darechay main woh Aana Bhool Gya
Main bhi apna Diya Jalana Bhool gya
Aj muhe bhi Uski Yad nahi ai
Woh Bhi mere Khowab main aana bhool gya
Khat Likha hai lekin...
Khat k Konay per
Woh apni aankh k Ansu Mitana Bhool gya
Rooth ke ek Jaga per Dono Bethe Rahe
Main usk0 woh Mujh manana Bhool Gya
Chalte chalte main usko ghar le aya
Woh Bhi apna haath Churana Bhool gya
SulaahK Zamane Main

Mujh Ko Aisa Lagta Hai

Wo Agar Bichar Jaye

Tou Sirf Itna Dukh Hoga

Jitna aankh Khulne Par

Khwaab Tuut Jane Ka

Par Ajab Tamasha Hy

Wo Agr Kabhi Mujh Se

Yun Hi Rooth Jati Hy

Tou Kainaat Ki Har Shey

Tuut Phoot Jati Hy
Ab Kisi aankh Ka Jadu Nahi Chalta Mujh Per
Wo Nazar Bhool Giye Hai Mujhe Pathar ker Ke
Pochna Chahon Uss Nigha-E-Dil Se
Kis Ko Aabad Kia Mujh Ko Berbaad Ker ke
Ek shararat kertay hain

Aao mohabbat kertay hain

Hansti aankhoun se keh do

Dareya hijrat kertay hain

Kuch dil aisay hain jin per

Hum b hakumat kertay hain

Koi baat to hai mujh main

Dushman b izzat kertay hain

Zinda rehna hai dushwaar

Acha.. to himmat kertay hain

Waisay hotay nahee hain log

Jaisi chahat kertay hain

Aksar apnay aap se hum

Teri shikayat kertay hain
Masroof Hain Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
WO Karain Humse Baat Unhain Waqt Kahan Hai
Wo Ponchain Meri aankh Se Behte Hue Aansu
Ae Ronaq-E-Bersaat Unhain Waqt Kahan Ha

Dil Mein Teri Yaad Ke Nistar Uter Gaye
Kitne Sitare aankhon Se Toot Ker Bikher Gaye
Aajo K Taras Giyn Meri Nighain
Dekha Nahi Tumhain Ke Bohat Din Guzer Gaye
Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
Apni aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaane De
Teri Mujrim hu,
Mujhe Doob Ke Mar Jaane De
wada hai tum yaad kiya karoge mujhe mujhse bhi jyada
bus ek baar tere naam per fanah ho jane de..............("_")
Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.
AB Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehar Bher Se To Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri aankhain hain Salamat Ab bhi
Kon Kehta HAi Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat Ye Hai K Koi Toot K Chahye To Sahi
Her Kisi Se To Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
Insaan Bada Jab Banta Hy

Jab Badey Wo Kaam Kare

Kaam Badey Kia Hote Hain

Kaam Badey Kuch Yun Hote Hain

Choti Choti Baato''n Se

Choti Choti Kushio''n Ko

Baant Kar Sab Main Bari Bari

Insaan Bada Ban Sakta Hy

Gar Thodi Si Koshish Karey

Koshish Wo Yun Ker Sakta Hy

K Dukh Apni Jholi Main Le Kar

Sukh Auron K Naam Karey

Apne Tou Apne Hii Hain

Ghairo''n Ko Bhi Apna Samjhe

Insaan Ki Izzat Badh Jati Hy

Aur Insaan Azeem Ho Jata Hy

Har Shaks Ki Izzat Lo Agar

Wo Apni Hii Izzat Samjhe

Naram Hawa Ka Jhonka Ban K

Nam aankhon Ko Khushk Karey