“Dil ki Batain , bata deti hain ,
aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain,
aankhen ,
Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,
aankhen,
Woh hum se baat nahi karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain
aankhen,
Gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain
aankhen,
Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain
aankhen,
Ma na ke Neend aati hai ,
aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain
aankhen,
SAGAR shukar hai , Khuda ne Ata ki ,
aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-Gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain
aankhen