aankh SMS Messages740 messages

Tum ko Maloom B Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho


Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain

Meri aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai
Haan Mere Dil mi Tera hi Aks basa rehta hai

Is tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!

Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi

Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!
Dekhte hai duniya ki aankhon se,
Aashiqon ki yehi aadat kharab hai
Dil ki aankhon se dekhe gar koi,
Har haseen ko samjhna aasan hai
Ek umer ke baad uss ko dekha !
aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Tumhain Dil Say Bhulatay Hain To aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain To aankhain Khoot Rooti Hain..


Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Jaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain To aankhain Khoob Rooti Hain..


Teri Tasweer, Adhooray Khat To Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain To aankhain Khoob Rooti Hain..


Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain To aankhain Khoob Rooti Hain..


K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain To aankhain Khoob Rooti Hain..


Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain To aankhain Khoob Rooti Hain..
khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye

muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye

ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye

main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitaabon mein chupa ker ley jaye

khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye

un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye
Tum is sheher se jaane lago to

meri aankhain lete jaana

safar mai koi saath rahe to

rasta jaldi kat jaata hai
aik arse se yeh aankhain soee nahi
hansi nahi
roee nahi
milli nahi
khoee nahi
ek baat thi dil main
jo tum se kabhi kahee nahi
TUM JAISA KOI NAHI
Aur kya kahooN kya hey uska mujh sey parda karna
wo jaanti hey mujh pey kayaamatoN ko barpa karna

uski soorat rahey aankhoN meiN aur dekhooN meiN
us ki kurbat meiN ajeeb tarz sy dil ka dharrka karna

hy munkashif mujh pey usey khaab meiN dekhoN to
mery khayaaloN ka phooloN ki tarhaN mehka karna

kaasa-e-ishq meiN deedaar ki bheek sy guraez us ko
jaany lagta hooN to ada-e-khaas sey mujhy roka karna

sunooN jo us ki to zaahir ho, magar ba-nakaab-e-rukh
us pey bohat jach’ta hey ye maasoom sa dhoka karna

accha lagta hy jo mehfil meiN usey ik tak dekhoN to
sharbati aankhoN ka ishaaroN sey mujhy toka karna
= * = SUNO = * =

Suno Hum Toot Jayenge

K Duuri She Na Payenge

Judaai Maar Dale Gi

Suno Ye aankhain Bojhal Hain

Inhain Kaise Behlayen Ge

Suno Hum So Na Payen Ge

Judaai Maar Dale Gi

Suno Ye Dil Tumhara Hai

Mera Ye Tum Se Wada Hai

Suno Ab Aisa Mat Kerna

K Sach Much Toot Jayen Hum

K Phir Simat Na Payen Hum

Suno Meri Jaan Sirf Tum Ho

Meri Kul Kainaat Tum Ho

Suno Mohabbat Kam Nahi Hogi

Kabhi Bhi Kam Nahi Hogi . . .

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga

Kabhii jo hum nahii hongey
kaho kis ko batao gey ???
woh apnii uljahane''n saarii
woh be''chenii mein doobay pal
woh aankhon mein chupay aansoo
kise phir tum dikhao gey ???
kabhii jo hum nahii hongey
buhut be''chain ho gey tum
buhut tanha reh gao gey
kabhii jo hum nahii hongey
abhii bhii tum nahii samjhay ???
hamarii un-kahii baatein
magar jab yaad aayein gey
buhut tum ko rulaai''n gey
buhut chaho gey phir milna
hamein na dhoond pao gey
kabhii jo hum nahii hongey ... !
Kaash tum yeh samajh paate.

tumhare dil ki tum he jaano
kaash hum apne dil ki kah paate
sada hamare dil mei rahna
kaash hum tumse yeh kah paate
dastak dete dil per tumhare
es sey pehle chal doge
jab tak pahunchi ye khabar humhe
tum duir desh mei jaa baithe
Jo khabar humhe yeh pahle hoti
hum raah rok kar kah dete
pehna kar apni khushiyon ka haar
tumhe vida hum kar dete
khalti hai bas ek baat yahi
gar kahni na thee apne dil ki
ruk jaate ghari do ghari
aur hamrae dil ki sun lete
bin baadal barsat kei yuin
barsati hain yeh aankhe jab
uthti hai ek hook si dil mei
Kaash tum yeh samajh paate.