aankh SMS Messages740 messages

ZUBAN KHAMOSH aankhON MEIN NAMI HOGI,


YEHI BAS EK DASTAN-E-ZINDAGI HOGI,


BHARNE KO TO HAR ZAKHAM BHAR JAYEGA


KAISE BHAREY GI WOH JAGAH JAHAN TERI KAMI HOGI.
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , aankhain ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, aankhain ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,aankhain,
Woh Hum Se Baat Nahi Kartey , Tu Na Karey ,
Haal Sara Unkey Dil Ka , Suna Deti Hain aankhain,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain aankhain,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein , Basa Deti Hain aankhain,
Mana Ke Neend Aati Hai , aankhon Hi Key Rastey ,
Magar Kabhi Kabhar , Neend , Ura Deti Hain aankhain,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham , Sarey Dil Key , Chupa Deti Hain aankhain
Kitni ratein beet gai,

Kitne din beet gaye,

Bus beeta nahi to

Yadon ka wo pal,

Wo guzra hua kal,

Beeti nahi to aankhon ki nami

aur AAP KI kami.
Rishta Wohi Purana Par Tum Kuch KHASS Lagte Ho,

aankho Se Door Sahi Magar Dil Ke PASS Rehte Ho,

Mujhe Bas Itna Bata Do,

Kya Tum Bhi hamare Bina UDASS Rehte Ho??
Hum aksar ye samajhtay hain
Jisay hum pyar kertay hain
Usay hum bhool bathay hain
Mager aisa nahi hota
mohabbat daimi such hay
mohabbat tehar jati hay
Hamari baat k ander
Mohabbat baith jati hay
Hamari zaat k ander
Mager ye kam nahi hoti
Kisi bhi dukh ki surat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki surat mein
Hamari aankh k ander
Kabhi ab-e-rawan ban ker
Kabhi qatray ki surat mein
Bazahir aisa lagta hay
usse hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye hargiz kam nahi hoti...
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aogye Jo aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Sochta Huun k Usay bhi Neend Aati Ho gi
Ya Meri Terha Faqat Ashk Bahati Ho ti
Wo Meri Shakal Mera Naam bhoolne Waali
Apni Tasweer se ki aaankh milati ho gi
Is Zameen Per bhi hai Sailab Mere Ashko''n Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Ho gi
Shaam Hote Hi Chaukhat pe Jala Ker Shamae''n
Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sajati ho gi
Us ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rung k Libaas
Ab Moharram Ki Terha Eid Manati ho gi
Hoti Hogi Mere Bosay Ki talab Main Pagal
Jab Zulfoon Main Koi Phool Sajati Ho gi
MEre Tareek Zamano Se Nikalne Waali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati ho gi
Dil Ki Masoom Ragain Khud hi Sulagti Hongi
Junhi Tasweer Ka Kona wo Jalati Ho gi
Roop De Ker Mujhe Us main Kisi Sehzaade ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Ho gi
Meray haath main jo Gulaab thay.....
Woh Gulaab saare bikher gaye.......
Meri aankh main woh jo khuwaab thay.....
Woh hi khuwaab mere ujarr gaye.....
Jisey main ne maanga tha baar-ha......
Woh hi shakhs mujh se bicharr gaya.....
Mera humsafar mujhe chorr ker.....
Kisi aur simt chala gaya....
Jisey saath dena tha umar bhar.....
Woh to do qadam bhi na chal saka......!!
dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum mohabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahon se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke dekho
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
kisi ko aankho mein basaa ke dekhaa thha
kisi ko dil mein bitthhaa ke dekhaa thha
ab tak thame nahin hai mere aansoo
bas ek baar muskurake dekhaa thha.