aankh SMS Messages740 messages

Sachche Dost ki ek nishani-

Wo Aapki aankho me us waqt dard dekh leta hai,

Jab duniya Aapse keh rhi hoti hai ki,

Yaar Tum muskurate bahut ho!
Ek Din Zindagi Aise Muqaam Pe Pohanch Jayegi

Dosti Tou Sirf Yaado''n Me Reh Jayegi

Har Cup Coffee Ka Yaad Doston Ki Dilayega

Aur

Hanste Hanste Phr aankhe''n Num Ho Jayengi

Office K Chamber Me Classroom Nazar Ayega

Par Chahne Pe Bhi Proxy Nahi Lag Payegi.

Paisa Tou Bahut Hoga Mgr Usey Lutane Ki Wajah He Kho Jayegi
Jee Le Khulke Is Pal Ko Mere Dost Kyun K Zindagi In Palon Ko Phir Se Nahi Dohrayegi

-->Dedicated To All My Frndz<--
Aaj phir kisi Ne Pucha K Tera
Hasta Hua Chehra Udas Q
Hai?
Barsti aankhon Mein Piyas Q
Hai?
Jinki Nazron Mein Imdad Tu kuch B nahi!
Wo Tere liye Itna Khaas Q
Hai?
MUSAFIR TO BICHARTE HAIN,
RAFAAQAT KAB BADALTI HAI,
MOHABBAT ZINDA REHTI HAI,
MOHABBAT KAB BADALTI HAI,
TUMHEN JO YAAD RAKHA HAI,
YEH HI APNI MOHABBAT HAI,
JO PATHAR PAR LIKHI JAAYE,
WO IBAARAT KAB BADALTI HAI,
KALI KA PHOOL BANNA OR BIKHAR JAANA MUQADDAR HAI,
YE HI QANOON-E-FITRAT HAI,
YEH FITRAT KAB BADALTI HAI,
JO DIL PE NAQSH KAR JAAYE OR aankhON ME SIMAT AAYE,
ALAAMAT HAI YEH CHAHAT KI OR CHAHAT KAB BADALTI HAI,…….?????
ALLAH AAP KI HIFAAZAT KARE ( AAMEEN
aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De

Tabeer Me ''''Imam'''' Ka Jalwa Dikhayi De

Aye ! ''''Ibn-e-Murtuza'''' Tere Saamne

Suraj Bhi Ek Chota Sa ''''Zarra'''' Dikhayi De
TERE DIL MAIN KAISI GIRAH PARI TUJHAY US SE ITNA HASAD HAI KYUN?

JO NABI(S.A.W.) KI aankh KA NOOR HAI JO ALI KI ROOH KA CHAIN HAI

KABHI DEKH APNE KHAMEER MAIN KABHI POOCH APNE ZAMEER SE

WO JO MIT GAYA WO YAZEED THA, JO NA MIT SAKA WOH HUSSAIN HAI
Aazan DainGi Tumhari aankhain
Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo''n Ka Naam Likhna
tou Sab se Opar Hussain liknna. . .
HuSSaiN Parhna , HuSSaiN Likhna
Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar
Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna

Huroof Khushboo ke Phool Ban kar
Tumhare Seenay Main Khil Uthainge
Tum aisa Karna Ke Apni aankho''n
Aur Apne Lab Par Hussain liknna

Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinde
Adab Se Sajda Karainge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawao''n
Ki Jhaalaro''n Par Hussain liknna

Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna
Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aaj Tak Tum Ne Jo Bhi Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
aankho''n k Sahilo''n
Pe Hy Askho''n Ka
Ek Hujoom

Shayad
GHAM-E-HUSSAIN
Ka Mausam Qareeb Hy ...
Kausar k Saaqi ka wo
Nawasa HUSSAIN tha

Karbala k dasht main
pyasa HUSSAIN tha

Baadal yazeediat k jo
pheley chaar suu

Un main chamakta ek
sitara HUSSAIN tha

Karta wo kese haath
pe bait yazeed k

Us waqt sab se
Arfa-o-aala HUSSAIN tha

Hilney Laga Tha
Arsh-e-ELAHI bhi Us Ghari

Jab Karbal Ki Rait Pe
Tarpa HUSSAIN tha

Pardes main Shaheed
jisay kr dia gaya

Wo MUSTAFA (S.A.W) ki
aankho''n ka Tara HUSSAIN tha
Log sirf yeh hee kyun kehtey hein k aankh sey aansoo nikal rahey hein,

Kya dil kabhi nahee roya?

Agar roya hai to log dil ko kyun bhool jatey hein