Kuch na kisi se bolenge

Kuch na kisi se bolenge
Kuch na kisi se bolenge,
bas tanhai me chup chup ro lenge,
apni to musafir jaisi hai zindgi,
sath kisi ke bhi ho lenge,
ye zindgi ek zahar bhara pyala hai,
kab tak hum isme amrit gholenge,
ab nind to aankho me aati nahi,
chalo jab maut aayegi to ji bhar ke so lenge
  

Jun, 04 2010     272 chars (2 sms)     3960 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai magar.....

Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai..........
Tere yaadoon mein guzaare hue paloon ka agar koi hisaab hota,
Khuda ki kasam tab ye saara jahaan unn paloon se bhara pada hota.
abhi se soch le kay muhabaat fanna kar deti hai,

agar anjaam se darte hai to agaz mat kar..
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai
Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai
Fir B Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai
Khoaf.!

Meri zindagi main

ik nya rang bharnay say pehle

Wo muskurai aur phir

Larztay hoe lehjay main boli

Muje dar lagta hai.
yeh mausam sabz patoon ka

sunahri dhoop kirnoon ka

hamien kab raas aaya hai

hamari zard aankhoon ne banjar khwab hi dekhey

keh apni khwab aalood hasti main

aatab alood basti main

koi khushboo na aanchal hai

koi jhonka na badal hai
Tum udas udas se lagte ho.

Koi tarkeeb batao manane ki


Main zindagi girvi rakh skta hun,

Tum qeemat batao Muskurany ki.
Kon Kehta Hy k Nafrato''n Main Dard Hy ''Faraz''
Kuch Mohabbate''n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !
Ab Dekhty Hyn Hum
Dono Juda Kese Ho
Paye''n Gy

Tum Muqaddar Ka Likha
Kehty Ho, Hum Dua Ko
Aazmaye''n Gy ...
Kahin sehra kahin sookhy shajar achy nhi lgty

Muje ab khwabzaaron k safar achy nhi lgty

Jawabi khat me yun usne mery bary me likha tha

Bura b keh nahi sakty mgr achy nahi lgty

Nahi masroof main itna k ghar ka rasta bholon

Koi jab muntazir na ho to ghar achy nahi lagty

Smandr tairti lashon se ye kehta raha shab bhar

Mujhy b doobny walo, bhanwar achy nahi lgty

Nahi aisa k ab parwaz ki taqat nahi baqi

Meri ummeed k panchi ko pr achy nahi lgty... ;->
chalo khawab ankhon main saja kar dekhtay hian
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hian
khon k rishton say aitebar uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hian
zindagi asan ho jaye shayad hamari
chalo hath ki lakiren mita ka r dekhtay hian
andheri shab tu kisi surat kat,ti nahi
chalo ghar apn a jala kar dekhtay hian
hamain maloom hay k tum nay hamara hona nahi
chalo tum per ye zindagi luta kar dekhtay hian....