Thand SMS Messages73 messages

Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari Ankhain .
Meri Ankhon ki Thandak hain,Teri yeh Qatil Ankhain.
Ho gaya hoon behoosh iss hoosh ki Dunya main
Jabh say daikhe hain main nay ,Teri yeh Qatil Ankhain.
Mian iss Hisaar say nikloon too kuchh aur soochun.
Meray diloo dimaagh pay havi hain ,Teri yeh Qatil Ankhain.
Mujh ko lay-jaatin hain ik ajeeb se dunya main .
Jabh bhi daikhta hoon ,Teri yeh Qatil Ankhain.
Shayed kay aa-jaay qarar meray pagal dil koo.
wagarna mujhay jeenay nahin dain ge,Teri yeh Qatil Ankhain.
Mujh ko piyare hain meri jaan say ,Teri yeh piyari Ankhain.
shayed kay mil jain mujhay ,Teri yeh Qatil Ankhain
Tumhara naam leta hon
To saanson main mohabbat ki
Kai perten ulat''ti hain
Tumhen aankhon main bharta hon
To aankhon se shua''en noor ki
Bahir nikalne ko tarsti hain
Tumhen sochon ki mutthi main jakarta hon
To saare jism main Thandi hawaen chalne lagti hain
Abhi wazeh nahi mujh per......
Ky main chahat ki kitni manzilen teh ker k
Is manzil pe pohancha hon
Abhi wazeh nahi mujh per........
Ky meri soch aisi hai
Ya teri zaat main koi shabistaan sa ujala hai
Mager ik baat wazeh hai.......
Ky teri zaat ki mojodgi
Mere liye jeene ka iklota sahara hai
Meri sochon ka mehver hai
Mere jeene ka hasil hai
Agar tujh ko meri sochon se minhaa ker diya jaaye
To!!!!!
Baqi kuch nahi bachta
Yehi ik baat wazeh hai.
Nazr me zulmat Badan me Thandak
Jamal kitna ajib sa tha
Me uski chahat me ghr se nikla tou
Haal kitna ajeeb sa tha
Na mene usy khatoot likhe
Na usne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raato''n me chand dekhe
Main apni raato''n me usko socho''n
Badalte lamhon me soch ka ye
Visal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kr lo ge
Mene poocha tou ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
Nazar me ZuLmat badan main Thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
Na os ney meri panah chahi,
Dono ko apni bey khudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha,
Wo apni raton me chand dekhe
Main apni raton main os ko souchon,
Badalte lamhon me souch ka yeh
Visaal kitna ajeeb sa tha,
Safar akelay he kaat lo gey
Main ne poucha tu ro diya wo,

Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha.......
Aise chup chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki Thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui Thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri Thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad
Adhi raat k sannatey mai
kis ne phone kia hy mujh ko
phone utha k youn lagta hy

us janib koi gumsum gumsum ukhra
ukhra dheerey dheery kanp raha hy
mehki hui si ik khamoshi hy
ghup khamoshi

lekin us khamoshi mai bhi goonj rahy hyn
Thandi sansen barish ansoo..
khamoshi se thak kr us ne sans lia to
choori khanki...

uff ye khaan khaan sarey badan mai phail gyi hy
tery ilawa koi nahi hy
lekin itney barson baad .... ?
aansoo bhi dil ki aag ko Thanda na kar sake

wasi

barish ke bawajod bhi jalta raha makan.
Woh Sehri Ki Thandak
Woh Iftar ki ronak
Woh asmaan ka Noor
woh Taron ki chamak
Woh Masjidoo ka sawarna
Woh Minaaron ka Chamakna
Woh Musalmaano ki Dhoom
Woh Farishtoo ka Hajoom
jee Haan
Just 1 day
RAMADAN

Start preparing to welcome this HOLY MONTH
Ramadan Mubarik
Wo SUBAH ka Sukoon

Wo PANI ki Thandak

Wo SAABUN ki Khushbu

Wo DHULAY hue chehre ki Khubsurati

Aap kya Jaano

Ye to sirf Muu Dhone wale he jante hain
Sardar thrmos le k picnic pr gaya.

Sardar: Is m Thandi chez Thandi or garm chee garam rehti hy.
Dost:Tum is m kya laye ho.
Sardar:4 qulfi 2 cup chae;-)