Sabz maddham roshani may

Sabz maddham roshani may
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara
  

Jun, 02 2010     579 chars (4 sms)     2908 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tu Chaley Saath Tou
Aahat Bhi Na Aaye Apni

Darmiyan Hum Bhi Na Hon
Yun Tujhy Chahei''n Tanha ...
**ANNA!!***
kisi mehrbaani ki boond say,

mujhay mera sehra azeez hay,

kisi maangi chhaaon ki bheek say,

meri dhoop dhoop azeem hay,

kisi tars khaatay ujaalay say,

mujhay naaz apnay andheron par,

mujhay gham-gusaaron ki bheer say,

es akailay-pan pay gharoor hay...!!
Aankho mein aansoo aye na hote .
Agar wo peeche se muskuraye na hote.
Unke judai ke baad ye gam hota hai ki.
Kash wo jindgi mein aye na hote
Pyar ka pehla khat likhna mai waqt toh laghta hai

naye pariendo ko udne main waqt toh lagta hai

jism ki baat nahi thi unke dil tak jana tha

lambi dori tayen karne mein waqt toh laght hai
Dunya Bhi Tere Saath Hy Dil Bhi Teri Taraf

Ab Mera Tera Faisla Tehra Khuda K Haath ...
Bhid Mein Tanha Hai, Khudpe Hum Hairan Hai,
Bewajah Muskuraye Dil Deewana Mera..
Mitne Lagi Hai Ab Sari Majburiyan,
Ab Tum Bhi Mita Do Dil Se Dil Ki Duriyan...
Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
Chandani raaton mein aansoo se andhera geela karna,

yehi toh ishq ka bada pyara andaz hai,

kabhi waqt mile toh mujhse bhi mohabbat karke dekhna,

teri berookiyon ko aaj bhi mera adaab hai!!
Tang Aa K Jab Hum Wafa Baichne Nikle,,,,

Logon Ne Khaloos K Bhao Gira Diye....

Be-Khuloos Logo''n Se
Ijtinab Krna Hy

Mujhy Apne Rishto''n Ka
Ehtisab Krna Hy

Usay Bhool Jana Hy Ya
Usay Yaad Rkhna Hy

Dukh Tou Ek Jesa Hy Bs
Intikhab Krna Hy
tu sarmaya-e-hasti hai tera zikr kaisa..?

yaad to tab karein jab bhulaya ho tujhe..?
Yoon rAsme wAfA Ki Adaa karte JaNa

mere nAAm sAri sAza krte jaNa

jane se pehle fakat jAn-e-jAna

Dil-0-Darkan ko juda karte jAna.