Thand SMS Messages73 messages

Pyari si subah me pyare se panchhi,Pyare se kinare,Pyari se oss
ki boonden,Pyari si Thandi hawayein,Ek pyare se Dost ko puyara
sa din de jaaye...Good Morning...
Hi Good Morning...!!! Uth gaye ho na? Arz hai,Chai ke pyale se
uthte dhue mein teri tasvir nazar aati hai,Inhi khyalon mein kho
kar aksar meri chai Thandi ho jaati hai...
Aaj kuch gahbraye se lagte ho,

Thand mein kampkapaye se lagte ho

Nikhar kar aayi hai surat aapki,

Bahut dino baad nahaye se lagte ho

...Good Morning...
NAi Subha Ka Naya Nazara

Thandi Hawa Le K Aai Peghaam Humara

Utho Tayar Ho Jao

Khushio’n Se Bhara Rahe Aaj Ka Ye Din Tumhara


Good Morning
Wo SUBHA Ka Sukoon

Wo PAANI Ki Thandak

Wo SAABUN Ki KHUSHBU

Wo DHULEY Huey Chehre
Ki Khoobsurati

Aap Kia Jaano


Ye Tou Srf Muu Dhone
Wale Hi Jante Hy ;->

Gud A.M
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon Thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
mein roi tu nahi hoon"
na jana kyon mera kaajal
jab bhi dalo ankh mein
ab aksar phale jata hai
mein roi tu nahi hoon......


tum tu janatay ho in dinoon
boht hi Thand hoti hai
tab hi hai naak surkh mere
mein roi tu nahi hoon........


kaha tu hai youn hi bus
bheega hai anchal k kona
choro tum fikar mat keroo
mein roi tu nahi hoon.......


nahi,odass kab hoon mein?
ziada kaam k bays
thaka-wat ho hi jati hai
mein roi tu nahi hoon..........


eid aye hai , wo ab bhi
nahi ata tu na ay
ab is ki yadd mein dekho
mein roi tu nahi hoon........


bata dena is ko ja ker
kahin khoosh-fahmi na koi palay
waisay hi surkh hain ankhain
mein roi tu nahi hoon..........
Hum aksar ye samajhtay hain
Jisay hum pyar kertay hain
Usay hum bhool bathay hain
Mager aisa nahi hota
mohabbat daimi such hay
mohabbat tehar jati hay
Hamari baat k ander
Mohabbat baith jati hay
Hamari zaat k ander
Mager ye kam nahi hoti
Kisi bhi dukh ki surat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki Thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki surat mein
Hamari aankh k ander
Kabhi ab-e-rawan ban ker
Kabhi qatray ki surat mein
Bazahir aisa lagta hay
usse hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye hargiz kam nahi hoti...
Muhabbat Zaat Hoti Hay
Muhabbat Zaat Ki Takmil Hoti Hay
Koi Jungel Mai Ja Tahre,
Kisi Basti Mai Bus Jaye
Muhabat Sath Hoti Hay
Muhbat Khowabon Ki Lah
Muhabat Musamon Ka Dhun
Mohabt Abbsharon K Nikartay Paniyon Ka Mun
Muhabat Junglon Mai Raqs Kerti Morni Ka Taan
Muhabat Barf Perti Sardion Mai Dhop Bunti Hay
Muhabbat Chilchilatay Garm Saherahon Men
Thandi Chahon Ki Manind
Muhabat Dil
Muhabat Ja''n
Muhabbat Roh Ka Darma''n
Muhabat Moorti Hay
Or kabhi Jo Dil k Mandir mai Kahin par Tot Jai tu
Mohbat kanch ki Gurya
Fizahon Men Kisi Ka Haath Sa Gir Choot Jaye Tu
Muhabat Abla Hay qarb Ka
Aur Phoot Jaye Tu
Muhabat Rog Hoti Hay
Muhabat Sog Hoti Hay
Muhabat Shaam Hoti Hay
Muhabat Raat Hoti Hay
dariyaa kaa saahil ho
puure chaaNd kii raat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
pariyon kii mahafil ho
koii tumhaarii baat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye narm mulaayam Thandii havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren
tumhaarii Khushbuu churaayen
mere ghar le aayen


kabhii yuuN bhii to ho
suunii har manzil ho
koii na mere saath ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye baadal aisaa TuuT ke barase
mere dil kii tarah milane ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se


kabhii yuuN bhii to ho
tanahaaii ho, dil ho
buuNden ho, barasaat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho..........
Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki Thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI..
Tum kia ho Duniya ki nazar main
aik aam insan
ya ziada say ziada achay ya buray per
meri nazar main tum seep may moti hou
tum lehro ki shararat ho
tum Thandi dhoup ki hararat hou
tum barisho ki sada hou
tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou
tum dharkano ki awaz hou
tum sada ho mairay piyar ki
tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz hou...