Samjh SMS Messages334 messages

Hum Na Samjhe Thay Teri Nazro’n Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kia Hai

Mujh Ko Madhosh Sa Kr Rakha Hai Teri Aankhon Ne
Werna Saaqi Tere Maikhaane Main Rakha Kia Hai

Dekh Le Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kia Hai
Khaak Main Mil K B Kehta Hai Bigra Kia Hai

Ye Suraahi Sa Badn Le Ker Maire Saamne Na Aa
Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Bharosa Kia Hai

Apne Honton Ko Maire Honton Se Chonay Na De
Ek Do Ghoont Se Botal Ka Bigarta Kia Hai
Jab piyaar ki baat adhori hoo
Jab beech mien thori doori hoo
Jab milna bhoat zrori ho
Par milnay mien majboori hoo
Tum dil mien yaad jaga laina
Kuch piyaar kay deep jala laina
Jab mujh say milnay aa na sako
aur yaad say bahir jaa na sako
Thora dil ko Samjha laina
Bus yaad say dil behla laina
Kaash hame bhi koi Samjhane vaala hota to aaj hum nasamajh naa hote kaash koi prem ki pyali pilane waala hota to aaj hum sharaabi naa hote kaash koi hum par jaan fida karne waala hota to aaj hum kaatil naa hote kaash koi hamare saath ghar basane waala hota to aaj hum beghar naa hote kaash koi hamare saath doosti karna wala hotatoo ajj beghar dooost ka na hota kaash Kuch hamaree bhi maqsad hote too ajj hmm beghar maqsad ka na hota shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai nahi to aaj hum shaayar naa hote
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne Samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
Dekhte hai duniya ki aankhon se,
Aashiqon ki yehi aadat kharab hai
Dil ki aankhon se dekhe gar koi,
Har haseen ko Samjhna aasan hai
Zindagi guzar gayi Dil ko Samjhaane mein....
Pyaar ke un kisso ko bhulaane mein....
Samajh baithe the jisse zindagi apni....
Woh shaamil thi meri barbaadi kaa jashn manaane
Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom "Sameer"
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai...............
jab seena gham se bojhal ho or yaad kisi ki aati ho

tab kamre main band ho jana or chupke chupke ro lena

jab ankhein baghi ho jayen or yaad main teri bhar ayen

phir khud ko dhoka mat dena or chupke chupke ro lena

jab palken karb se moondi hon or sab Samjhen tum soy ho

tab moon pe takiya rakh lena or chupke chupke ro lena

ye duniya zalim duniya hai ye bat bohat phelaye gi

tum samne sab k chup rehna or chupke chupke ro lena

jab barish chehra dho dale or ashk bhi bonde lag ti hoon

wo lamha hargis mat khona or chupke chupke ro lena
Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai
na woh hum ko Samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai
Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai
Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai
Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai
Apni hi dhun mein guzari hai yaaro
Meri zindagi mein ajab ik maza hai
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata

Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein Samjhaya nahi jata

Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost Samjha nahi jata

Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata

Koshish se badal jaati hai Taqdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata .
pyaar kay deep jalaney walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan sey janey walay kuch kuch pagal hotay hain
hijr kay gheray zakhm milay to mujhko ehsaas hua
pagal ko Samjhney walay kuch kuch pagal hotay hain
jaan sey piyarey logo sey bhi kuch kuch pardah lazmi hai
sary baatein bataney walay kuch kuch pagal hotay hain
is kay ishq mein bheeg kay humko yeh ehsas hua
dil ki baat mein anay walay kuch kuch pagal hotay hainn
Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhte hai satanay k liye


MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye



In faaslOn ko na Samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye



Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye


Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal janay k liye



Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar janay k liye