Samjh SMS Messages334 messages

Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bohat,

aaj na chahtay howay bhi woh yaad aya bohat,

uss k baad tu jasay vehshaton se dosti ho gai,

phir kyon aaj tanhaiyon ne daraaya bohat,

woh mera tha,mera hai, mera rahay ga,

hum nay iss khayal se khud ko behlaya bohat,

hum ne jis kisi ko bhi humdard Samjha apna,

woh hamare dukh pe na jaane kyon muskuraya bohat...
Iss Shaam Ki Tanhai Se,

Iss Dard Ki Gahrai Se Yeh Dil Kuch Baat Kar Raha Hai,

Zara Samjho In Fizaon Ki Chubhan Ko,

Tumhain Koi Yaad Kar Raha Hai..
Ker lea hai faisla kehna ossay
abb na hoga rabta kehna ossay
jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH
kho gaya woh Rasta kehna ossay
teri YADEEN DIL se ruksat ho gain
ho chuka yeh saneha kehna ossay
abb na dekhay ga tumhara rasta
dil ko may Samjha chuka kehna ossay
cheen se sone na dega Ghum tujhi
raat bher abb jagna kehna ossay
aashna bun ker na milna rah may
Dosti ek khuwab tha kehna ossay
moer k pechay dekhtay hum bhi nahi
soch ker munh phairna kehna ossay
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hai,
meri har aah har dard Samjhti hai,
pata hai majbur hai tu aur main bhi,
phir bhi aankhen didar ko tarasti hai
Kaash Koi Samjha Daita ...


Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain


Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain


Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Hatheli samne rakhna...
Ke sab ansoo giren is mein
jo ruk jaye honto per...
Samjh jana ke wo hon main
.
Kabhi jo chand ko dekho...
To tum yun muskra dena...
Ke phir badal bhi ajaen..
Samjh jana ke wo hon main
.
Jo chal jaye hawa thandi..
To ankhen band kerlena...
Jo jhonka tez ho sab se..
Samjh jana ke wo hon main
.
jo zada yaad ao main...
to ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aye...
to Samjh jana ke wo hon main
.
Agar tum bhoolna chaho
mujhe shayed bhula do tum
magar jab saans aye gi..
Samjh jana ke wo hon main..
kabhi kabhi kuch sun ne ko dil karta hai
kabhi kabhi kuch Samjhne ko dil karta hai
jeene nahi deti ye waqt ki dheemi raftar
har waqt aapse milne ko dil karta hai
Kisi say besabab uljha nahi tha
Who pehlay tu kabhi aisa nahi tha
Who phir bhi yad rehna chahta tha
Agarchay mein usay bhoola nahi tha
Bohat aala tha uska zarf lekin who meri zat ko Samjha nahi tha
Who jaisay berukhi say chal para tha
Mein itna bhi gaya guzra nahi tha
Usay mein kyou bura thehraon yaroo
Who acha tha faqt mera nahi tha
zindagi k kisi mor per khu ko tanha na Samjhna,me tere sath hun apne se juda na Samjhna,me tujhse jan se badh kar pyar karta hun,meri is muhabat ko bura na Samjhna,tum phulon ki tarah khubsurat ho masoom ho,dekho meri is tareef ko bejaan na Samjhna,umar bher tera sath dene ka wada kia he,zindagi ne agar sath na dia to bewafa na Samjha,ab b tune mere pyar ko thukraya sanam,ise mera muaddar jan na,apni khata na samajhna..
Bhul ...se Agar/////,, Bhul... Hojayegi..
Bhul.... Samjhkar ,,Bhul...Jana..Magar ,,,,Bhul,,,na
sirf ,,Bhul...ko,,,Bhul...se hame Mat ,,,,Bhul....jana....//./../.,/.,
Kisi Larki Se Mat Kehna

Ke Uss Se Pyar Kertay Ho

Ager Ek Be-Dhayani Mein

Yeh Iqrar Ker Bethay

Kisi Se Pyar Ker Bethay

To Phir Wadoon Ki Doroon Mein

Ulajh Ker Toot Jao Ge

Tumharay Pyar Ka Us Ko

Ager Ehsaas Ho Jaye

To Ho Sakta Hai Tum Us Ka

Rang-o-Roop Ban Jao

Mohabbat Ke Safar Mein Shayad

Aysa Morr Aajaye

Ke Tum Narazgi Ka

Bermila Izhaar Ker Bethay

Koi Inkaar Ker Bethay

To Yeh Samjhoo Koi Sheesha,

Koi Dil Toot Jaye Ga

Ke In Ke Dil Bohat Nazuk,

Bohat Kamzoor Hotay Hain

Kisi Larki Ke Dil Ka Tootna Bhi

Mout Hoti Hai

Kisi Larki Say Mat Kehna

Ke Us Se Pyar Kertay Ho....!
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.