Pani SMS Messages239 messages

Tum kabi na meri azmaish kr sko gy,

jan se ziada kia frmaish kr sko gy,

pyar krty hain itna jitna samandr me Pani,

kia samandr ki pimaish kr sako gy.
Be qarar tanhaiyon ka silsila reh jayega,

tere mere darmiyan bus Ik khala reh jayega,

ashq beh jayenge sarey dukho k sailaab main,

aur koi Paniyo mai jhankta reh jayega,

mujhko mere humsafar aisa safar DAR paish he,

Rasta kat bhi gaya to fasla reh jayega,

log so jayenge khamoshi ki chadar ourh kar,

chand sune angano mai jagta reh jayega,

Jo kabhi us nay parhi thi mujhse mang kar.

naam mera un kitabo mai likha reh jayega . . .
Muhabbat Zaat Hoti Hay
Muhabbat Zaat Ki Takmil Hoti Hay
Koi Jungel Mai Ja Tahre,
Kisi Basti Mai Bus Jaye
Muhabat Sath Hoti Hay
Muhbat Khowabon Ki Lah
Muhabat Musamon Ka Dhun
Mohabt Abbsharon K Nikartay Paniyon Ka Mun
Muhabat Junglon Mai Raqs Kerti Morni Ka Taan
Muhabat Barf Perti Sardion Mai Dhop Bunti Hay
Muhabbat Chilchilatay Garm Saherahon Men
Thandi Chahon Ki Manind
Muhabat Dil
Muhabat Ja''n
Muhabbat Roh Ka Darma''n
Muhabat Moorti Hay
Or kabhi Jo Dil k Mandir mai Kahin par Tot Jai tu
Mohbat kanch ki Gurya
Fizahon Men Kisi Ka Haath Sa Gir Choot Jaye Tu
Muhabat Abla Hay qarb Ka
Aur Phoot Jaye Tu
Muhabat Rog Hoti Hay
Muhabat Sog Hoti Hay
Muhabat Shaam Hoti Hay
Muhabat Raat Hoti Hay
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
aaj hum bevde nahi to kya..........
pehle hum bhi mehkhano mein raha karte they.........
aaj sungte hi chad jati hein to kya............
1 zamaane mein Pani ki taraha piya karte they........
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
dard ka kard is kadar hei ki,
aankhein num rehti hein
kuch aansu jo humne bahaye hi nahi
or aapne sumjha hum kabhi roye he nahi
aap puch rahe the kuch meri nind ke baare mein
or ik hum hein ik umer se soye hhi nahi
tere intezaar mein jo saanse li hein ab tak
har saans ka dard kuch is kadar hei ki
tujhe Pani ki koshish thi tjhe khone ka gumm hei
teri yaad mein ye aankhein barson se numm hein
YE MERI ANA HAI KAY MAIN TANHA HI JEON GA…..
TUM KISI OR DAR PAY CHALAY JAO SAHARO...............
MAIN DOB KAR BI UBRON TO MERA SATH MAT DENA…..
TENKON KI TARAN Pani MAIN BEH JANA KINAROO…..
aaj hum unhe bewafaa bata kar aaye hai,
unke khato ko Pani mein baha kar aaye hai,
koi nikaal kar padh na le unhe,
isliye Pani mein bhi aag laga kar aaye hai
Tumhe bakshi hai dil pe hukmrni or kia dety.
Yahi thi bus humare rajdhni or kia dety.
Sitaro se kse ki mang brna ek fsna hai.
Tumhare nam lekh de zndgni or kia dety.
Woh hum s emangta tha umar k aik dilnshn hissa.
Na detay us ko hm apni jawani or kia dety.
Bichartay wqt us ko ek na ek tufha to dena tha.
humaray pas tha ankho me Pani or kai dety.
Mohabbat seekh ker kerna.
K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai.
Girebaan taar hota hai.
Kabhi inkar hota hai Kabhi iqrar hota hai.
Mohabbat seekh ker kerna..
K bin seekhe mhabbat to serabon ki kahani hai
Dukhon ke raj-dhani hi
Jo kal ban jaay ga baadal
ye dariya ka wo Pani hai.
Mohabbat seekh ker kerna...
K bin seekhe mohabbat to azab-a-zindgi thehri
Sharab-a-zindgi thehri
Na ho takmil jis ki wo
Kitab-a-zindgi thehri.
ISI KHATIR TO KAHTA HOON KISI USTAD-A-KAMIL SE
MOHABBAT SEEKH KER KERNA
dareeja yad ka khulty he sab kch lot ata hai
purany manzaron ko ankh phir sy dekh pati hai
teri tasveer banti hai teri awaz ati hai
galt hai yeh!!
k koi guzy kal my jee nhi sakta
sarabon my bany daria sy Pani pe nhi sakta
MUJY DEKHO.............
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,
tab to sirf khilone tuta karte the.
Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,
titli ko pakad ke uchhla karte the.
Paoon maar ke khud barish ke Pani mae,
apna aap bhigoya karte the.
Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,
bachpan mein to dil khol ke roya karte the.
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe Panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--