Kiss SMS Messages393 messages

zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina Kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada Kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa Kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba Kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua Kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa Kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi Kiss ko saza aur khata Kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
Kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa Kiss ki thi
hadsoon ki duniya mein kon Kiss ko rota hai
yaad kar ke dukh apney khoon dil ka hota hai

amad_e_baharan par roye khoob roye hum
dard yoon be thamta hai dard yoon be hota hai

app ki nigahoon mein wo be hogaye mujrum
jin ki begunahi par asmaan be rota hai

khaak mein milein akhir sub riyaztein oss ki
jagney se kya hoga jub naseeb sota hai

naqsh subt hotey hein dil mein bewafai ke
naaz jin pe kartey hein maan jin par hota hai

dil mein kitney tufaan hein purskoon chehra hai
janey wo Sameer apney dukh kahan samota hai!!
Zindagi guzar gayi Dil ko samjhaane mein....
Pyaar ke un Kisso ko bhulaane mein....
Samajh baithe the jisse zindagi apni....
Woh shaamil thi meri barbaadi kaa jashn manaane
najaney kyoon guzrey zamaney yaad atey hein
kyoon ye puraney zakham phir mujhe statey hein

har chehrey mein chupa hai chehra un ka
nazar milaney se hum issi liye katratey hein

kub hoti hai rahat dil ko iss tarah se
ke tera naam le kar hum Kissi aur ko bulatey hein

yoon toh roney ko umar de gaya wo
lekin gham oss ke sehney se hum kub ghabratey hein

ghar se be ghar kiya tha jin logoon ne humein
suna hai phir mujhe wapas bulatey hein

apney naseeb mein hai aik baar wisaal un ka
mere naseeb issi liye tujhe baar baar azmatey hein

in ankhoon ko nhin ab naseeb unein dekhna
kya karein wo mere khwaboon mein aa jatey hein!!
teri yadoon ke bina koi lamha guzara nhin
ik pal nhin jub tumein hum ne pukara nhin

meri nakamiyun ka itna be gham na ki jiye
agar app jeetey hein toh mein hara nhin

ye naqsh_e_dard kesey utara jayein chehrey se
mein ne abi app ka gham dil se utara nhin

tere bin yoon kat rahi darya_e_zindagi mein
kashti be hai maaji be hai kinara nhin

kar rakha hai jiss ne sarey ghar mein ujala
ansoo hein mera ye koi toota houa tara nhin

Kiss ko galey laga ke royein namuraad hum
iss bhari duniya mein apna koi sahara nhin

mareez_e_ishq hai tamanai khudkushi ka ab
gehrey hein dil ke zakham aur koi chara nhin!
kub kon Kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din Kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
Tum Nay To Yeh Keh Diya Kay Muhabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Yeh Kehney Ki Bhi Fursat Nahi Mili

Neendon Kay Daiss Jatey ,Koi Khawab Dekhtey
Lekin Deya Jalaney Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko To Khair Shehar Kay Logon Ka Dar Tha
Aur mujh Ko Apney Gher Se Ijazat Nahi Mili

Phir Ekhtalaf-e-rai Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kissi Say Bhi Aadat Nahi Mili

Bay-Zaar Youn Huway Kay Teray Eahhad Mein Humein
Sub Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili
Her jaanib samundar hai
Kinaara kiyun nahi milta..
Mere Maula bataa
Mujhko sahaara kiyun
nahi milta..
Mujhe is shehar mein din bhar
Hazaaron log milte hein..
Jissay mein doondnay nikla
hoon woh pyaara kiyun
Nahi milta..
Jissay Chaha, Jissay Pooja,
Jissay Socha, Jissay Likha,..
Mere Maula mera us se
Sitaara kiyun nahi milta..
Bohat hi door hai manzil Bhatakna
hai kab Talak,
Yah Rab..
Kissi ki Ankhon ka mujhko
Ishara Kiyun Nahi Milta...
UNHE KissA-E-GAM SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU BAHATE BAHATE

KAHI BUJH NA JAYE CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT JALAATE JALAATE

KissI KO KHABAR HI NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA BASATE BASAATE

KEHDE KOI UNSE.....
WO KHUD BAAZ AAYE APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN MANATE MANATE
hai dua yaad magar harf e dua yaad nahi
mere nagmaat ko andaz e nawa yaad nahi

hum ne jin k liye rahoun main bichaya tha lahoo
hum se kehte hain wohi eehd e wafa yaad nahi

zindagi jabar e musalsal ki tarhan kati hai
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi

main ne palkoun se dar e yaar par dastak dii haii
main woh sahil hoon jisse koi sada yaaad nahi

kaise bhar aayein sar e shaam Kisssi ki aankhein
kaise thari chiragoun ki zia yaad nahi

sirf dhundle sitaroun ki chamak deeekhi hai
kab howa kon howa mujh se khafa yaad nahi..

aaoo ek sajda karein alam e madhoshi main
loggg kehte hain SAGAR ko khuda yaad nahi......

AJJ JAANEY KI ZID NA KAROU
HUM TOU MAR JAYE GAY HAYE LUT JAYEGEY
AESI BAATAIN KIYA NA KAROU..

TUM HI SOUCHOU ZARA KYON NA ROKAIN TUMHAIN
JAAN JATI HIA JUB UTH K JATEY HO TUM
TUMKO APNI QASAM JAN E JAAN
BAAT ITNI MERI MAAN LOU...

AAJ JANEY KI ZID NA KARO
YOUN HI PEHLOU MAI BETHE RAHO
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU
HAYE MAR JAYEGEYHUM TOU LUTT JAYEGEY
AESI BAATAIN KIYA NA KAROU...

WAQT KI QAID MAIN ZINDAGI HAI MAGAR
CHAND GHARYAAN YAHI HAI JO AZAAD HIA
INKO KHOOO KAR MERI JAAN E JAAN
UMR BHAR NA TARASTEY RAHO.......
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU

KITNA MASOOM RANGEEN HAI YE SAMAAAN
HUSN AUR ISHQ KI AAAJ MERAAJ HAI
KAL KI Kiss KO KHABAR JAAAN E JAAN
RUK LOU AAJ KI RAAT KO.......
AAJ JANEY KI ZID NA KAROU.....