Kiss SMS Messages393 messages

Nadaani mein hum Kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe

Teri bewafaayi ka Kissa jab jab yaad aayega
mere tan badan mein ek aag si bharkaayega
jo tu ne kiya koi dushman bhi nahin aisa karta
dekh lena ek din tu bhi bohat pachtaayega
Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di Kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
tum sab jo meri baat suno
ik Kissa tumhein sunaata hoon
ye Kissa nahi zamanay ka
ye Kissa hai parwaanay ka
jo pal pal jeeta marta tha
jo pyar bohot hi karta tha
har baat usay maloom to thi
ek baat magar wo bhula betha
shamma ko haasil karnay mein
khud apna aap ganwa betha
youn ishq ki had se guzarnay mein
parwanay k jal marnay mein
ab jaagti hai na soti hai
shamma ab har pal roti hai
Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To Kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........

kabhi galti se humari gali se gujro
hum to ab bi nigahe juka kar kade hain

andekha kar har bar dil tod jate ho
Kissi tarah is baat ko bulakar kade hain
shikwah na Kissi se milney ka kya karain hum
do harf lafz dill main hain woh be judha judha
chandni raat k hatho pay sawar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.

iss main kuch rang bhi hain ,
khaab bhi khusbuain bhi.

jhilmilati huwi khwahish bhi, aarzoain bhi.
issi khushbu main kayi dard bhi afsaanay bhi.

issi khushbu nay banaay kayi dewanay bhi.
meray aanchil pay umeedo ki Qataar utri hai.

koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.
issi khushbu say kayi yaad k dar kultay hain.

meray pairoo say jo leptay to safar khiltay hain.
yahi khushbu jo meray ghar say utta layi thi.

ab Kissi toar palat kar nahein janay daiti.
meri dehleez bulaati hai mujhay loat aao.

yahi khushbu mujhay wapas nahein aanay daiti.
ranj aur dard main doobi yeh bahar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,

Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,

Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,

Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,

Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,

Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad Kissi ki kon Kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be Kissi se!!!