KHUD KO SMS Messages192 messages

Aaj uski yaad nay hamein tarpaya bohat
Aaj na chahte huway bhi woH yaad aya bohat
Us k bad tu jaisay vehshaton say dosti ho gae
Phir kyou aj tanhanion nay daraya bohat
Wo mera tha mera hai mera rahay ga
Hum naY iss khayal se KHUD KO behlaya bohat
Hum nay jis kisi ko bhi hamdard samjha apna
Wo hamary dukh pay na jaane kyou muskuraya bohat
Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum, Bas yehi ek wada nibha payenge hum,
Mita denge KHUD KO bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
"I REALLY MISS U"
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to KHUD KO sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to KHUD KO sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
KHUD KO MUJH SE JUDA KIA US NE.
JO NA KARNA THA WO KIA US NE.


YAD KARNE SE BHI NA YAAD AAOON.
AISAY MUJH KO BHULA DIA US NE.


TUM TO BAS WAQT KI ZARRORAT HO.
MUJH KO AAKHIR BATA DIA US NE.


KHUD SE NAZREEN NAHEE MILA SAKTA
ITNA NEECHE GIRA DIA US NE.


APNE HAATHOON SE KHUD HI LIKH KE MUJHEY.
JANE PHIR KIOON MITA DIA US NE . . .
Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bohat,

aaj na chahtay howay bhi woh yaad aya bohat,

uss k baad tu jasay vehshaton se dosti ho gai,

phir kyon aaj tanhaiyon ne daraaya bohat,

woh mera tha,mera hai, mera rahay ga,

hum nay iss khayal se KHUD KO behlaya bohat,

hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha apna,

woh hamare dukh pe na jaane kyon muskuraya bohat...
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan KHUD KO nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
Tum kia ho Duniya ki nazar main
aik aam insan
ya ziada say ziada achay ya buray per
meri nazar main tum seep may moti hou
tum lehro ki shararat ho
tum thandi dhoup ki hararat hou
tum barisho ki sada hou
tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou
tum dharkano ki awaz hou
tum sada ho mairay piyar ki
tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
tum KHUD KO kabhi mat daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz hou...
Yun to zindgi me ajeeb se mod ayenge,

Kabhi khusi to kabhi gam layenge.

Rakhna KHUD KO sambhal ke,

Kyoki aap hasenge to hum bhi muskurayenge.
kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe KHUD KO
terey pass bhool jaon.../
mana ki koi sath nahi
tanha hu is waqt

tuti hu par bikhari nahi
na hua hausla hai pastt

sach hai ki dagar kathin hai
aasan nahi safar

na hi koi rahnuma hai
jo bane mera humsafar

achcha hi hua tune mujhe daga de diya

soye hue junoon ko phir se jaga diya

nadaN thi tere ishq main KHUD KO fanna kiya

ho bhala teri bewafai ka jisne fir humeN zinda kiya

fir se wahi junoon hai

bulandion par hai hausla

tere har gunah ka mai khud karungi faisla!
Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Larhzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To KHUD KO Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To