KHUD KO SMS Messages192 messages

Samahet kho chuka tha kiya usay sada daitay
Yahi bohat tha kay yah wakaea bhula daitay

Humaray ikhtiyar main hota gar yah sanam
Tairay khatoot kiya tasweer b jala daitay

Na dushmni b saleekay say ho saki tum sy
Diya tha aas ka ik bar hi bujha daitay

Yahi bohat hy k KHUD KO sambhaal kr rakha
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay

Jo apni zaat me dhoka aor faraib thy CHANDA
Woh humain kaisay wafa ka koi sila daitay
Ajeeb Tarahse Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Khulta Hoon Har Khushi Ke Liye,

Wo Mujhko Chhod Gaya To Mujhe Yaqeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs Zaroori Nahi Kisi Ke Liye,

Sawal Ye Hai Ke Usne Kabhi Nahi Puchha,
Ke Aap Sochte Kaise Hai Shayri Ke Liye,

Use Khabar Hai Ke Uska Koi Nahi Apna,
Ek Aashnayi Bhi Kafi Hai Ajnabi Ke Ilye,

Khata Kisiki Ho Lekin Saza Kisiko Mile,
Ye Baat Jabar Ne Chhodi Hai Har Sadi Ke Liye,

Ye Saadgi Thi Meri Ya Ke Saad Chahat Thi,
Ke Maine KHUD KO Kiya Pesh Dillagi Ke Liye
Majal ha koi mujh say tujhy juda kr dy
jahan b jay ga tu mein tujhy sada don ga

teri gali main bohat dee sy khara hon magar
kesi ny puch lea tuu jawab kaya don ga

meri khamosh negahon ko chasm_e_num sy na dekh
mein roo para tuu dilon k tabq hela don ga

yunhi udas raha tuu dekhna mein ek din
tamam shehr tanhaiaan becha don ga

ba pas_e_sohbat_e_derina koi bat b kr
nazar mela tuu shai mein tujhy Dua don ga

bulaon ga''na melon ga''na khat lekhon ga tujhy
teri khusi k leay KHUD KO har saza don ga

ab tuu rat ha kuch deer so hi ly Nasir
koi bulay ga tuu mein tujhy jaga don ga..!!
Ek haseen khwaab tha ki hakeekat kaise jaanon main,
Apni saanson mein teri khushboo ab tak pehchanoon main.

Tum is tarah mujhme samaayi thi ki jaise koi faasla na raha,
Sone do thodi der aur ab KHUD KO kyun aaj ab jagaoon main.

Kuch lamhe kaise beet gaye ehsaas na hua,
Apne badan se alag tujhe kyun pehchanoon main.

Teri zulfen mujhse aaj bhi lipat ke yun sawaal karti hain,
Tumhare paas bhi jawaab na hoga ye ab jaanoon main.

Kyun is tarah tumne mujhe jaane diya ye gawaara nahin mujhe,
Chupa ke rakh leti mujhe agar, tab teri diwaanagi ka kaha maanoon main.

Koi khushnaseeb pal yun guzra tha mujhe choo kar aise,
Ek ehsaas apni dhadkan mein aaj tak behta janoon main.
Main Tujhey Chaahta Nahin Leikin!!

Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Jab Paas Tu Nahin Hoti
KHUD KO Kitna Udaas Paata Hoon
Gham Say Apney Hawas Paata Hoon
Jaaney Kya Dhun Samaai Rehti Hai
Ikk Khamoshi Sii Chaai Rehti Hai
Khud Say Bhi Guftaguu Nahin Rehti
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Shab Ki Taweel Khalwat Mein
Tairey Awqaat Sochta Hoon
Kon Say Phool Tujh Ko Bhaatey Hain
Rang Kya Kya Pasand Aatey Hain
Kho Sa Jaata Hoon Tairi Samaat Mein
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Ehsaas Say Nijaat Nahin
Sochta Hoon To Ranj Hota Hai
Dil Ko Jaisey Koi Dabota Hai
Jiss Ko Itna Sarahta Hoon Main
Jiss Ko Iss Darja Chaahta Hoon Main
Uss Mein Teri Sii Koi Baat Nahin
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin!!!
"Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum, Bas yehi ek wada nibha payenge hum, Mita denge KHUD KO bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

KHUD KO umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
Shayad Iss Nay Mujh ko Tanha Daikh Lya Hey
Dukh Nay Meray Gher ka Rasta Daikh Lya Hey

Apnay Aaap Say Ankh Churata Phirta Hoon
Aaiinay Mein Kiss Ka Chehra Daikh Lya Hey

Us Nay Mujhay Darasal Kabhee Chaha Hee Nahin Tha
KHUD KO Day Ker Yeh Bhi Dhoka! Daikh Lya hey

Uss Say Miltay Waqt Ka Rona Kuch Fitree Thaa
Uss Say Bicchar Janay Ka Nateeja Daikh Lya Hey

Rukhsat Kernay Kay Adab Nibhanay They
Band Ankhon Say Us ko Jata Daikh Lya Hey
Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha

tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chata raha

kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
woh KHUD KO to na badal saka bus mujh ko he badalta raha

ab tak kaise chup raha yeh mut pooch Majid
waqt mujhay behlata raha or main behelta rah
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai,
Tanhai mein sheher basaaya karta hai,

Kaisa paagal shaks hai saari saari raat,
Deewaroon ko dard sunaya karta hai,

Ro daita hai aap hi apni baatoon par,
Aur phir KHUD KO aap hansaaya karta hai...!
Zindgi ka raaz tanhayi me pa liya,

Jiska gum mila apna bana liya.

Humara gum sunne ko jab koi na mila,

Samne rakha aaina or KHUD KO suna diya.
ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajnabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky mainny KHUD KO paish kiya dil lagi k liya