kabhi lafz bhool jaon

kabhi lafz bhool jaon
kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe khud ko
terey pass bhool jaon.../
  

Jun, 07 2010     180 chars (2 sms)     2739 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

~ Nasihat ~

Chahat Hy Lekin
Haqiqat Nahi Hy

Aaj Kal Kisi Ko Kisi Sy
Sachi Mohabbat Nahi Hy

Jo Tumhai''n Bhula Dy
Tum Usey Bhula Do

Is Sy Behter Koi
NASIHAT Nahi Hy ... :)
wo loot kar aya tu maang raha tha mujh se apne kaye ki mafi..

uski aankhon ki nami or mosmeat ne maaf karne par majboor kar daya mujhe..
Din Akele Raat Tanha Kat Di Mein Ne
Doston Mein Sari Khushiyan Bant Di Mein
Jeevan Ki Bhag Dor Mein Mujhe Mila Hee Kia
Pane Ki Umeed Mein Zindagi Kat Di Mein Ne
Agar zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
Dil todna hamari aadat nahi,Dil hum kisi ka dukhate nahi.
Bharosa rakhna meri wafaon pe,Dil me basa ke hum kisi ko
Bhulate nahi..
Jab say teri chahat apni zindagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai
Rok detey hein shariat k takazey warna
Mei tera ziqer sab se afzal kar don.
ae chand tu bhul jayga garur se chamakna,,,

jis roz dekhy ga ik jhalak mere yar ki,,,
na lub se aah na dil se sada niklti hai
magr yeh baat bari dur tuk ja niklti hai
wo zindgi ho k duniya faraz kya kijye
jis se ishk karo bewafa niklti hai
Hamain To Pata Tha Anjaam Mohabbat Ka .....

FARAZZ

Hum To Apne Hathon Ki Lakeron Ko Aazma Rahay Thay
Manzil-e-gham ki fazaon say lipat kar roo loon
Teray daman ki hawaon say lipat kar roo loon
Jam-e-maaey peenay say pehlay mera jee chahta hai
Bikhari zulfon ki ghataon say lipat kar roo loon
Zard ghunchon ki nigahon mein nigahein daloon
Surkh phoolon ki qabaon say lipat kar roo loon
Aanay walay teray rastay mein bichaon aankhein
Janay walay teray paaon say lipat kar roo loon
Apnay majboor taqadus k sahary sagar
Deer-o-kabah k khudaon say lipat kar roo loon
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai,
Tanhai mein sheher basaaya karta hai,

Kaisa paagal shaks hai saari saari raat,
Deewaroon ko dard sunaya karta hai,

Ro daita hai aap hi apni baatoon par,
Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai...!