Zindagi roz naye

Zindagi roz naye
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
  

Jun, 04 2010     159 chars (1 sms)     2413 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi

Muddatein Beet Jati Hain Kisi K Intezar Mein
Ye Sirf Pal Do Pal Ka Kaam Nahi
Nahi Hy Humara Haal
Kuch Tumhare Haal Se Alag

Bas Farq Hai Itna

K

Tum Yaad Krte Ho

Aur

Hum Bhool Nahi Paate
Bhula Da!Na Zaroor! HO Gaya Tha...!!!

Teray Baray Ma! Bahut Se Log Aa Ker Poochtay HA!N
Tu Hee Bata Wazahat K!Ya Karoon Ma!N
Kahoon Geen Kuch To Kuch Samjha!N Ga!N Saaray
!Nha!N !S Tarah K Haalaat Se Kab Waasta Hoga
Bahut Soocha
Bahut Soocha To Tab Ja Ker Kaheen Soocho''on K Gumbund Ma!
Yeh Hee Jumla Bahut Da!R Tak Goonja
Jawab Her Poochnay Walay Ko Main Batao''on Geen Jaanan...!
Zara S! Bay-N!Yaz! Se
Meray Haalaat A!Say Thay
Kay !N Haalaat Ma! Her E!K Jazbay Ko
Sula Da!Na Zaroor! Ho Gaya Tha
Aur Us Ko Yaad Rakhnay K L!Ye Us Ko
BHULA DAINA ZAROOREE HO GAYA THA...!!!
Kar ke wada wafa kaa wo u mukar gaya,

Ek Chote se tufaan se wo kitna dar gaya.

Pata nahi koi majburi thi uski,

Ya fir is khilone se bhi uska dil bhar gaya
kal shub mujhe be shakal ki awaz ne chonka deya.

main ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi.
Dheery dheery guzar raha hoon

Zinda hoon shayed ya mer raha hoon

Mushkil to hai ye safr-e-zeest

Daikho magar main ker raha hoon
Ab Dekhty Hyn Hum
Dono Juda Kese Ho
Paye''n Gy

Tum Muqaddar Ka Likha
Kehty Ho, Hum Dua Ko
Aazmaye''n Gy ...
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
koi be-dhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay

rukh badalta hoon to shey-rag mein chubhan hoti hai
ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay

jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla
doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay

dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di
toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay

thaam ker haath mera aisa woh roya
koi kaafir se musalman hoa ho jaisay
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri Pehchaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
Kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur Kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
jub wo danton main dubatay hain ghulabi anchal..

kitnay par kaif nazron ko saza milti hai..