Zindagi roz naye rang

Zindagi roz naye rang
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
  

Jun, 04 2010     159 chars (1 sms)     2305 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Ruthi Hui Ankho Main Intazar Hota Hai
Na Chahte Hua V Pyar Hota Hai
Kyu Dakthe Hai Hum Wo Sapne
Jinke Tutne Par V Unke Such Hone Ka Intzar Hota Hai
Maut Ki Aakhri Hichki Ko Zara Ghaur Se Sun
~ GHaLiB ~



Zindagi Bhar Ka "Khulasa" Issi Awaaz Mein Hai...
Har naqsh dil se mita dia hai
suna hai tumne mujhe bhula dia hai

tumhain bhulnay ki is koshsh-e-nakaam ne
phir usi raastay se mila dia hai

phir jagi hai khuwahish tumse milne ki
isay phir thapkiyon se sula dia hai

kitnay pursukon thay meri zindagi k lamhe
teri aahat ne sara aalam hila dia hai.
hoye thy wohi badnam hoye,

tum to masoom rahy apni adaaon ki tarah...
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
humara bachha najayaz hein to kya...........
hum kaunse jayaz they................
ki goddh bhi kesi nasheeli hoti he......!

k bin loori k hi meethi neend sulaaa deti hee...
Kitna Bhi Mukhlis Ho Jaoun Kissi
Se Bhi, Kho He Daita Hu Ussay .
Wajah Ban Ker Beach Meey Aksar
Kabhi Mera Mazhab Kabhi meri zaat ayi
Shikwah hai meri chup ka Sarosh aaj unhii ko
jo log meri batoon se bezaar buhut thay
pholon k qabil nai shayad mera daman-e-atish.

ae sahib e gulshan isy kanton se hi bhar dy..
Tum Nay To Yeh Keh Diya Kay Muhabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Yeh Kehney Ki Bhi Fursat Nahi Mili

Neendon Kay Daiss Jatey ,Koi Khawab Dekhtey
Lekin Deya Jalaney Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko To Khair Shehar Kay Logon Ka Dar Tha
Aur mujh Ko Apney Gher Se Ijazat Nahi Mili

Phir Ekhtalaf-e-rai Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kissi Say Bhi Aadat Nahi Mili

Bay-Zaar Youn Huway Kay Teray Eahhad Mein Humein
Sub Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili
dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya

haal e dil hum bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bari mushkil se guzara tha ye din aey dost!
phir tera waada e shab yaad aya

beth kar saaya e gul main NASIR!
hum bohot rooye wo jab yaad aya