Hawa SMS Messages540 messages

Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
Kabi tamana k rastoon par
Nikal paro tou khayal rakhna
Hawain, badal,fizain, mousam
Khayal chahray badal badal kar tumhain milain gay.
Tum lamha lamha badaltay Rangoon k sokh dhokay main a na jana.
Aur apni aankhain kahein khala main ganwa na aana.
K aisa na ho jo khoab totay.
Dhanak dhanak ka sarab totay.
Tou jism-o-jan pay azaab totay.
Aur tum ba mushkil
Laraztay hathon main kirchi kirchi badan sambhalay zameen pay utro.
Kahein bolandi pay charh k doobti hoe nighahon say wapsi k nishan dhoondo.
Ujar gaya jo jahan dhoondo.
KAHEIN AISA NA HO.
KHAYAL RAKHNA……….!!!!!!
usi ik fard k wasty mere dil main dard kis liye..?
mere zindagi ka mutalba wohi aik shaks kis liye..?
to jo shaher main hi mukeem hai,,tu musafrat ki fiza hai kio..?
tera jo kawaran nahi gaya,tu yeh Hawa main gard kis liye…
jo likha ha mere naseeb mian,kahin tune par tu liya nahi…?
Tere hath sard hain kis liye,tera rang zard hai kis liye..?
Woo jo tark-e-taluq ka ehad tha,kahin tootne tu nahi laga…?
Tere dil main dard ko dekh ker ,mere dil main dard hai kis liye..?
Koi wasta jo nahi raha,tere ankh main yeh nami hai kio..?
Mere gham ki aag ko dekh kar,teri aah sard hai kis liye..
tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke Hawalon main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. .........
Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

nichaawar kHawaab kar doon gi terey har ishaarey par
kabhi peepal ki chaaon main kabhi nadiya kinaarey par
tumhain thandak ataa kar doon gi ik basaat ki manend
bikhartey chaand jharnoon main ujalti raat ki manend

mujhey tum se muhabbat hai main logoon ko bataaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

main chaahon gi tumhain janaan umangon se ujaalon tak
khudi ke dasht se le kar naey janmon ke saalon tak
Meri thandi si tanhaae sulagti raat jaisee ho
mujhey bas saath le jao bhaley baraat jaisee ho

tmharey surkh jorhey main hi dulhan ban ke aaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi
Ye Kia HAr Dam Kisi Ki Mannatai''n Kerna
Kia Isi Ko Kehte Hain Mohabbatai''n Kerna

Jo Apni Qismat Main Hai Milay Ga Wohi
Kis Baat Pe Hai Rab Se Shkayaytai''n Kerna

Ye Pagal-Pan Nahi Tou Aur Kia Hai Phir
Zameen K Ho Ker Aasman Se BagHawatai''n Kerna

Bohat Ker Cuka Hai Logo''n Pyar Ye Dil
Ab Koi Sikhaye IsKo Nafratai''n Kerna

Pehle Yaad Kerna Usay Phir Rotay Rehna
Jane Kab Chore Ga Dil Ye Harkatai''n Kerna . . .
Poocha rooh nikalti hai jism sy kis tarah?Hath us ny hatoon sy chura kr dikha diyapoocha mehshar sy pehlay qayamat hai kiya??Nakab usny ruh sy utha kr dikha diyaPoocha k yeh her taraf khizan c kyoun hai???Mehfil sy khud ko utha kr dikha diyaPoocha ek diya jo Hawa sy na bujh saka??Diya us ny wafa ka jala kr dikha diyaPoocha k aakhir yeh hassad hai kiya cheez??Us ny kisi aur ko apna bana k dikha diya...!
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh kHawab he tera kHawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
guzarta hoa saal jesy bhi guzra
magar saal k akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi janazon ki lambi qitarain
kahan tak koi dekh paey?

Hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,asar e hazir ka maseeha kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Meri zindagi ki zarurat ho tum.chaha hai dil ney jisko wo chahat ho tum.Manga hai dil ney jisko wo kHawahish ho tum.Mehkaya hai jis ney zindagi ko.wo khushboo ho tum.ankhon main jo basa hai wo haseen kHawab ho tum.Dil main dharakney wali wo dharkan ho tum.Mera dil bhi ho tum, meri jaan bhi ho tum, mera pyar bhi ho tum.
Mohabbat Say, Inayat Say, Wafa Say Chot Lagti Hai,,Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai,Meri Aankhon Main Aansoo Ki Tarha Ek Baar Aa Jao,Takaluf Say, Banawat Say, Aada Say Chot Lagti Hai,Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn,Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai,Tujhe Khud Apni Majburi Ka Andaza Naheen Shayad,Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai...!!!