Hawa SMS Messages540 messages

Eay Subah main ab kaha raha hon?KHawabon main hi surf ho chuka hon.Kya hai jo badal gai hai dunia.Mina bhi to bohat badal gya hon.Main jurm ka eatraaf ker k kuch aour hai jo chupa gya hon.main aur faqt ussi ki kHawahish ekhlaaq main jhoot bolta hon.Roya hon to apney doston main. Par tujsay to huns ker hi mila hon...Eay shakhs...!Main teri justajoo say bezaar nahin hon. Thak gya hooooon.
Jab Seenay K Ander
Saans k darya doltey hain
Jab sard Hawa main mausam
Chup si gholty hain
Jub aansu palkai''n roltey hain
Jab sab awaizai''n apne apne bister par so jati hain
Tub ahesta ahesta ankhai''n kholtey hain

DUKH BOLTEY HAIN
HAAN!!
DUKH BOLTEY HAIN. . .
Kuch kHawab hain jin ko likhna hai..

Taabeer ki sorat daini hai..

Kuch loug hain ujray dil walay..

Jinhain apni mohabbat daini hai..

Kuch phool hain jin ko chunna hai..

Aur haar ki sorat daini hai..

Kuch apni neend baki hai..

Jisay bantna hai kuch lougon mein..

Un ko bhi rahat daini hai..

Aye umer-e-rawaan ahista chal..

Abhi khasa karz chukaana hai..!
Rangat teri zulfo ki ghatao ne churai,
Khusboo tere anchal se Hawao ne udai.
Paimane ka dil na tut jaye to kahu main,
Hai cheez gazab ki jo nigaho ne pilai.
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa''n chehkein gee yakh-basta raato''n may
Aur pairo''n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi Hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Wafa jab maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey
Dil ke aangan main utarti hey
To palkon par sitaaron ki dhanak muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey heowlon sey bhi
An-dekhi si anjaani si khushboo aaney lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki zangeerain
Achanak zehan main jab gungunaati hain
Nafas ke taar main sannata sa yakdam cheekh uthta hey
To yun mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
"Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya ho ga?"
Ye jo bhi zakhm deti hey, kabhi seeney naheen deti
Mohabbat rooth jaaye to, kabhi jeeney naheen deti..
jo us kay chehray pe rang-e-heya thehar jay
to saans, saqt, samandur, Hawa thehar jay

wo muskrai to hans hans parhain kai mosam
wo gungunay to bad-e-saba thehar jay

subak khram saba chaal chal parhe jub bhi
hazar phool sar-e-raah aa thehar jay

wo hont, hont par rakh de agar dam-e-akhar
mujhe gumaan hay kay aai qaza thehar jay

main uski aankh main jhankoon to jesay jam jaon
woh aankh jhapke to chahoon zara thehar jay
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot kHawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!
chalo kHawab ankhon main saja kar dekhtay hian
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hian
khon k rishton say aitebar uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hian
zindagi asan ho jaye shayad hamari
chalo hath ki lakiren mita ka r dekhtay hian
andheri shab tu kisi surat kat,ti nahi
chalo ghar apn a jala kar dekhtay hian
hamain maloom hay k tum nay hamara hona nahi
chalo tum per ye zindagi luta kar dekhtay hian....
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_Hawa kiss ki thi
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...