Halt SMS Messages261 messages

Muhabbat “DEAL“ Se Maawara Rishta Sahi
Phir Bhi
Chalo Ek DEAL Kertay Hain
Yeh Saraa Aasman Lay Lo
Mujhe Bus Woh Sitara Day Do
Tumharay Naam Se Jo Aasman Per Jhilmilata Hai
Mujhay Inn Guftugu Kerti Hui Aankhon Se Kiya Lena?
Mujhay Woh Un-Kahi Day Do
Jisay Sun“nay Ki Hasrat Main Hawa Tham Thum Ke CHalti Hai
Tumharay Reshmi Malboos Main Perti Hui Silwat
Tumharay Qurb Ki Dheemi Sulagti Aanch Si Garmi
Tumharay Paon Ki Aahat
Jo Tappti Dopaher Ko Sham Main Tabdeel Kerti Hai
Tumharay Paas Say Uth“ti Hui Khushbo
Mujhay Inn Sab Se Kiya Lena?
Magar Inn Sab Ke Badlay Main
Mujhay Iss Be-yaqeeni Se Rehaee Day Do
To Acha Hai
Hawaa Ke Doosh Per Rakhay Diyay Jaisay
Meray Bujhtay Huay Dil Ko
kaha tak raqs karna haiiiii
Aanken Band Kar Bhi, Hum Tera Deedar Karte Hain,
Aye Sanam, Hum To Sirf Tum Se Pyar Karte Hain.
Lakh Chaah Kar Bhi Main Tujhe Bhula Nahi Saktey,
Saans Rahte, Teri Tasvir Aankhon Se Hataa Nahi Saktey.
Aakhiri Pal Tak O Bewafaa, Tujehe Yaad Kartey Hoon,
Teri Yaadon Yo Seene Mein Basaa Kar CHaltey Hoon.
Dil ki Batain bata deti hain Aankhein
Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein

Dil pe cHalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi
Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein

Woh hum se baat nahi karti tu na kare
Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein

Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath
Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto
Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein

Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste
Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein
Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta“alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
CHaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

CHalte cHalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !
kisi ki yaad dil main hai koi ehsas baqi hai
badalte mausam ke darmiyan ek raz baqi hai

abhi main safar mein hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dHalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai

chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai

umeed hai phir bhi mile ga wo hamain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai
KAHAN A DOST CHaltE JA RAHE HO
BAHOOT AAGE NIKELTE JA RAHE HO

CHALE JAOW MAGAR YEH TO BATAOW
YEH RESTE KION BADALTE JA RAHE HO.
Imtihaan ke chaar din hote hai mahobbat janam-janam tak cHalti,meri zindege main aaye ho bahaar bankar tum yoohi rahna pyaar-pyar bankar..........
Tum ney samja he nahi mari chahat ko kabi
Tum ney chaha he nahi mari muhabat ko kabi
Sochta hoon main jaan leeta tumhey
Main ney perkha nahi tari fittrat ko kabi
Mana ik umar kati yadoon main cHaltey hoey
Wo marasam na rahey rahoon pe cHaltey hoey
Ab hey tanhaian aur perchaian baki
Ho gey ham sey juda wo hamsafar marey sathi
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhey
Main ney jana hee nahi tari hasrat ko kabi
Ye safar piyar ka tanha kat“ta hee nahi
Koi bee per hoo dil macHalta hee nahi
Tum ko maloom hey tum dulruba hamarey they
Piyar ke rahoon main tum hamsafar hamarey they
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhain
Main ney socha hee nahi tari ulfat ko kabi
Kabhi subha hogi na shaam hogi

ashi koi kahani mare naam hogi

saahil ki mooj ka kiya pata

raat pey likhi tahreer gumnaam hogi

cHalte rahay hain bas younhi

jane apni manzil ki gaam hogi

her ati saans per hoti hai subha

koun jane kab zindagi ki shaam hogi

tum mujhay jitna kureidoo gay

mari metti utni hi kaam hogi

jee raha hoon is umeed per main

tare dar pay zindagi ki shaam hogi

jis ki yaad main jitay hain hum

yeh zindagi bas us k naam hogi.
Tumhain Dil Say Bhulatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain To Aankhain Khoot Rooti Hain..


Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Jaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Teri Tasweer, Adhooray Khat To Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


K Jab Bhi Shaam DHalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata

Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata

Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata

Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah cHaltey ko apna banaya nahi jata

Koshish se badal jaati hai Taqdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata .