Chor SMS Messages462 messages

"Pyaar Zindagi Ki Tarah Hota Hai,
Jiska Her Morr Aasan Nahi Hota,
Her Raste Per Khushi Nahi Milti,
Per Jab Hum Zindagi Ka Saath Nahin Chorte,
To Hum Pyaar Karna Kyon Chorein...
mein anderon mein bhi ujalon ke talab gar rahi
sesaktee...taraptee....bekarar rahi.
ab toh!!! anso bhi lahoo ke shaqal ekhteyar ker gay
jab weranon mein zoron ke barsat rahi
bujhtay charagon ko anchal say bacha ker
zindagi apnay RAB ke taraf say kuch udhar rahi
ab!!! mehfilon ko Chornay say kia??? faida
*Anjan* mohabbat toh akhier phir bhi barbad rahi.
Dil-E-Nadan barish Ki Tarh Barasna Chor De
Aise Hee Tere barasnay Se Koi Pigle Ga Nahi
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gia
Jo Pori Na Ho Kabhi Aesi Aas Chor Gia
Ye Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kam Hai Kia
K Khud Door Hai Yadain To Pass To Chor Gia
Jo Khuwaishain Thi Kabhi Hasraton mein Dhal Gaye Ab
Mere Labon Pe Wo Aik Lafz KAASH Chor Gia
Yeh Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha
K Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khaas Chor Gia
Baharon Se Mujhe Isi Liye Tou Nafrat Hai
Inhee Ruton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gia
WO Baat Baat Pe Deta Tha Mujhe Parindon Ki Misaal
Saaf Saaf Nahi Kehta Ke Mera Shehar Chor De
Wo Mujhse Poch Raha Tha Batao Kesa Laga
Tum Agly Zakham Choro Yeh Ghao Kesa Laga
Ajab Sawal Kia Andhiyoun Ne Patton Se
Shajar Se Toot Ker Girna Batao Kesa Laga
Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Detay Ho
Sans Cheen Kar Jeenay Ki Dua Bhi Detay Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jaari Hai
Oar Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho
Tark-E-Taluq Ki Pahel Mein ne Ki
Chahta To Wo Tha Magar Us Mein Hosla Na Tha
Chorne Ka Faisla To Roz Kerta Tha WO Magar
Meri Wafa K Aage Uska bas Chalta Na Tha
WO Wafa Na ker Sake to Kia Hua
Kuch Dino Ka To Saath Nibhaya Tha
Tarapta Hua Chor Gya To Kya Gila Karain
Tarhpana B To Usi Nay Sikhaya Tha
Tumharay saath rehna hai
Mujhe har waar sehna hai

Mujhe ashkoon ki surat main
Teri ankoon say behna hai

Tumharay hussan par janan!
Udasi bhi tu gehna hai

Yehi tu Juram hai apna
kay hum nay pyar pehna hai

Chalo ab bey rukhi Choro
Humain aik saath rehna hai

Hay mera katam afsana!
Tumhin kuch aur kehna hai?
Wo Jo basa Hai Mere Dil Mein Usey Bataon Kese
Dar Bhi Lagta Hai Zamane Se Chupaon Kese
WO Shaks To Panchi Hai Urr jaye Ga
Mein Khud Ko Uske Peeche Uraon Kese
Mein To Uske Liye Duniya Gi Chor Don
Iss Se Zada Mein usey toot ker chahon kese
dil hai jo uss ajnabi ko apna manta hai
iss dil-e-nadan ko mein samjhaon kese
wo shaks mere dil pe hukmurani kerta hai
uske elawa mein kisi aur ko basaon kese

WO Ajnabi Hai Jane KAb Chor De
Hawa Ka Kia Pata kab Rukh Mor De
Ham TO Dosre Ka Dil Khush Rekhte Hain
Magar Dosre Ka Kia Pata Kab Dil Torr De