Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
kuch is tarhan se wafa ki misaal deta hon.....
sawal karta hai koi tu taal deta hon
usi se kehta hun akser fareeb manzil ka....
main jis k paaon k kantay nikal deta hon
Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoo mai ....
tujhe bina mile tera hall bata sakta hoo mai....
hai meri dosti mai itna dum....
apne ankh ke ansoo tere ankh se gira sakta hoo mai ,,....
Kyun har baar hum unki baton mein aa jaate hain
Kyun baar baar unke kehne se maan jaate hain
Har dard ko sejhne ke baad bhi unke saamne muskurate hain
Aur aapne haaton se apne aasuon ko poochte jaate hain
Ye Juday Apni Arzi He Na Dil Mein Is Ka Malal Rakhna
Hamari Ankhon Ne Jo Dekhe He Wo Sare Sapne Bahal Rakhna
Tumhari Sansen Tumhari Dadhkan Hamari Amantein Hein
Hamari Khater Hi Jan E Jana Aapna Khyal Rakhna