Ankh SMS Messages1253 messages

Bikhri hai kuch iss tarah mohabbat usey kehna
aAnkho mein utar aaye hai wehsat usey kehna
kehna k tere baad se G lagta nahi hai
Be chain si rehti hai tabiyat usey kehna
aAnkho se wazu ker k yeh khamosh aankahin
kerti hain teri roz ibadat usey kehna
yeh soch k badnam na ho jaon kisi din
ker li hai tere shehar se hijrat usey kehna
mehki hai phir mere aangan mein raat ki rani
Jagi hai tere qarb ki harat usey
Aansu aAnkhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,

Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,

Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,

Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
Ho Raat Akeli Pichlay Paiher Or
Chand Gagan Main Aa Jaye,
Tum Chand Ki Manend Tanha Ho Ye Baat Tmhay Tarpa Jaye.
Kuch Khuwab Saja Kr Palkoun Pay
Tum Chand Say Batein Kr Laina,
Hum Yaad Tmhay To Krtay Hain Tum
Yaad Humain Bhi Kr Laina.
Kuch Bat Na Ho Jb Aisay He Num Ankh
Tmhari Ho Jaye,
Tum Bat Kahi Pr Krty Ho,Dil Or
Kahi Per Kho Jaye.
Jazbat K Aisay Alam Main
Muskan Laboun Par Bhar Laina,
Hum Yaad Tumhe To Krtay Hain,
Tum Yaad Humain Bhi Kr Lena..
Neend AAnkho''n Main
Musalsal Nhi Hone Deta

Wo Mera Khwab Mukamal
Nahi Hone Deta

Ankh k Seesh Mehal Main
Wo Kisi Bhi Lamhe

Apni Tasweer Ko Ojhal
Nahi Hone Deta

Rabta Bhi Nahi Rakhta Hy
Sar-e-Wasal Koi

Aur Ta''aluq Bhi Mo''atal
Nahi Hone Deta

Dil Ye Kehta Hy Usay
Laut K Aana Hy Yahin

Ye Dilasa Mujhe Pagal
Nahi Hone Deta ...
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aAnkh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Mohhabat Ka GhuM HoTa BohuT Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa BohuT Hai,
UDasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein SanaTa BohuT Hai,
Na MiLne Ki QasaM Kha K Bhi Main Ne,
TuJhe Har Raah Mein DhunDa BohuT Hai,
Ye AAnkhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn AAnkhon Ne TuJhe Dekha BohuT Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
ShayiD MuJhe Rona BohuT HaI,
TuJhe MaLooM To HoGa MeRe HuMDuM,
TuJhe Aik Shakhs Ne Chaha BohuT HaI.!
Ajab Charaagh se Jaltay hain Teri AAnkhoon main...

Main Zindagi Teri AAnkhoon pay Warna Chahoon....
Apna Saath De Ya
Qaid-e-Tanhai De

Mujhe Kuch Bhi De
Magar Be-intehai De

Meri AAnkho''n Pe Yun
Naqsh Ho Tera

Mein Khud Ko Bhi Deho''n
Tou Tuu Hi Dkhai De ...
Waqt-e-dua main ek dua karon,
main rab se ek eltija karon,

tu khush rahe,
tu shaad rahe,
teray dil ka angar abaad rahay,
tu har pal yun hi hansa kare,
tu phulon ki manind khila kare,
teri zindagi main koi ghum na ho,
teri aAnkh kabhi num na ho,
tujhey kisi se koi gila na ho,
koi dukh tujhey mila na ho,
teri rad kabhi dua na ho,
tee lab py koi sada na ho,
tujhey bin mange wo ataa karay,
teri maaf her ek khata karay….!
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab Ankhon se ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri Ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
Tumhen Wapis bhi jana tha,
Kabhi tum ne ye Socha ha?
Kisi ki sochti sada si AAnkhon mein,
Udasi ki tahreer tum ne mita Dali,
Dhanak sapnon ka phir se jaal sa ek bun diya un mein,
Magar janan!
Zara Socho....
Agar is baar bhi sapnay kisi ne toor Dale to,
Wo in ki kircheyan sari ki sari,
apni Palkon mein chupa le gi,
Tum aisa kuen nahi kartay,
Abhi se us ko batla do
Tumhen Wapis bhi jana hay.