Ankh SMS Messages1253 messages

Ye Kon Aansoun ki Saza De Giya Mujhe
Jeeny Ki Jate Jate Dua De gia Mujhe
AAnkhon Mein Mere Kab Se Hai Tofan Rakha Hua
Khul K Na Berse Aesi Ghata De Gia Mujhe
Mazi K Roz-O-Shab Ko Bhoolon To Kis Tarah
Khushion ka Karb-Naak Sila De Gia Mujhe
Maqooz Ho Chuka Tha Mera Piyar
Kuch Soch Ker Hee Dard-E-Wafa De Gia Mujhe
Aj Darechay main woh Aana Bhool Gya
Main bhi apna Diya Jalana Bhool gya
Aj muhe bhi Uski Yad nahi ai
Woh Bhi mere Khowab main aana bhool gya
Khat Likha hai lekin...
Khat k Konay per
Woh apni AAnkh k Ansu Mitana Bhool gya
Rooth ke ek Jaga per Dono Bethe Rahe
Main usk0 woh Mujh manana Bhool Gya
Chalte chalte main usko ghar le aya
Woh Bhi apna haath Churana Bhool gya
SulaahK Zamane Main

Mujh Ko Aisa Lagta Hai

Wo Agar Bichar Jaye

Tou Sirf Itna Dukh Hoga

Jitna AAnkh Khulne Par

Khwaab Tuut Jane Ka

Par Ajab Tamasha Hy

Wo Agr Kabhi Mujh Se

Yun Hi Rooth Jati Hy

Tou Kainaat Ki Har Shey

Tuut Phoot Jati Hy
Ab Kisi AAnkh Ka Jadu Nahi Chalta Mujh Per
Wo Nazar Bhool Giye Hai Mujhe Pathar ker Ke
Pochna Chahon Uss Nigha-E-Dil Se
Kis Ko Aabad Kia Mujh Ko Berbaad Ker ke
Bad mudat usay dekha logo
Wo zara bhi nahi badla logo
Kush na tha muj say bichar kar wo bhi
Uss k chehray pey likha tha logo
Uski Ankhein bhi kahay deti hain
Raat bhar woh bhi nahi soya logo
Ajnabi bun k jo guzra hai abhi
Tha kisi waqt woh apna logo
Dost to khair kon kiska hia
Uss ney dushman bhi na samjha logo
Raat wo dard meray dil mein utha
Subho tak chain na aya logo
Piyas sehraon ki phir tez hui
Abhr phir toot k barsa logo
Ek shararat kertay hain

Aao mohabbat kertay hain

Hansti aAnkhoun se keh do

Dareya hijrat kertay hain

Kuch dil aisay hain jin per

Hum b hakumat kertay hain

Koi baat to hai mujh main

Dushman b izzat kertay hain

Zinda rehna hai dushwaar

Acha.. to himmat kertay hain

Waisay hotay nahee hain log

Jaisi chahat kertay hain

Aksar apnay aap se hum

Teri shikayat kertay hain
Masroof Hain Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
WO Karain Humse Baat Unhain Waqt Kahan Hai
Wo Ponchain Meri AAnkh Se Behte Hue Aansu
Ae Ronaq-E-Bersaat Unhain Waqt Kahan Ha

Dil Mein Teri Yaad Ke Nistar Uter Gaye
Kitne Sitare AAnkhon Se Toot Ker Bikher Gaye
Aajo K Taras Giyn Meri Nighain
Dekha Nahi Tumhain Ke Bohat Din Guzer Gaye
Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aAnkhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
Apni AAnkhon Ke Samunder Mein Utar Jaane De
Teri Mujrim hu,
Mujhe Doob Ke Mar Jaane De
wada hai tum yaad kiya karoge mujhe mujhse bhi jyada
bus ek baar tere naam per fanah ho jane de..............("_")
Titlion Ki Khwahush To,


Titlion Se Naazak hY,


IS Tarah Ki Khwahish Ka

Raang Roop Dhalne main,

Kitne Dair Lagti hY,

Titlion K Dil Awaiz

Naram Naram PAnkhon Se,

Dilkashi Utarne Main


Dair Jitni Lagti hY.
Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aAnkhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aAnkhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aAnkhoon main chupa lia.