Adaa SMS Messages104 messages

Dewana hai tere naam ke is baat sa inkar nahin kasa kaha humha aap sa pyar nahin kuch tu kasoor aap ki Adaa ka ha hum aakla tu gunhegar nahin
teri dosti teri wafa he kafi hay ,

tamaam umar ye ik aasra he kafi hay,

jahan kahen b milo mil k muskra deyna,

meray jeenay k liay teri ye Adaa he kafi hay,
...DOOR...
Tum Door Sahi Muj Se
Sapnoo Ma Tu A Jao
Bechain Mere Dil Ko
Pal Bar Behla Jao,
Koi Lamha Nahi Kut Ta
Tujay Sochay Bina Jana
Yadon se Nikal Kar Kabhi
Mere Saamanay A Jao,
Bus Itni Se Khawahish Hai
NAdaan Mere Dil Ki
Phir A Key Chalay Jana
Ek Baar Tu A Jao,
Bachaini Si Dharkan Ma
Na Aankhon Ma Neenden Hein
Be Kaif Tabbiyat Ki
Koi Waja Bata Jao.
NAdaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
NAdaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
DOSTI TO SIRF ITTEFAQ HAI,
YEH TO DILON KI MULAKAAT HAI,
DOSTI NAHIN DEKHTI YEH DIN HAI KE RAAT HAI,
ISME TO SIRF WAFAdaaRI AUR JAZBAAT HA
Naya Ek RABT paida kyoon karen HUM?
Bicherna Hai to JHAGRA kyoon karen HUM?

Khamoshi se Ada ho RASM-E-DOORI...
Koi Hungama barpa kyoon karen HUM?

Ye Kaafi hai k HUM (HUM''TUM ) Dushman nahi hain...
WfAdaari ka DA''wa kyoon karen HUM?

Wafa,Ekhlaas,Qurbani,Muhabbat...
Ab in Lafzoon ka peecha kyoon karen HUM?

Hamari he Tamanna kyoon karo TUM?
Tumhari he Tamanna kyoon karen HUM?

Kia tha Ahad jab Lamhon main HUM ne...
To saari Umr Efaa kyoon karen HUM?
janay kis liay pal main,
log bhool jatay hain!!
zindagi ki yadoon ko,
bay shumar wadoon ko,
khushguwaar batoon ko,
sath guzri shamoon ko,
an ginat iradoon ko,
Janay kis tarah pal main
log bhool jatay hain!!
pyar ki haqeeqat ko,
umar bhar ki chahat ko,
rishtoon ki nazakat ko,
jazaboon ki sAdaat ko,
lams ki hararat ko,
dil sye dil ki rahat ko,
KAISAY BHOOL JATAY HAIN?
KAISAY BHOOL JATAY HAIN??
Meray dil meray musafir.
Hova pher say hukam sadir.
K watan badar hon hum tum.
Dain gali gali sAdaain.
Karain rukh nagar nagar ka.
K soraagh koi pain.
Kisi yar-e-nama bar ka.
Har ik ajnabi say pochain.
Jo pata tha apnay gher ka.
Sar-e-koay-e-tashanayan.
Humain din say raat karna.
Kabi is say baat karna.
Kabi us say baat karna.
Tumhain kia kahoon k kia hai.
Shab-e-ghum bori bala hai.
Humain yah b tha ganeemat.
Jo koi shumar hota.
Humain kia bora tha marna.
Agar aik baar hota.
Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik Adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sAdaa nayee sAdaa milti rahi.
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri IbAdaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Kuch iss Adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.