Adaa SMS Messages104 messages

door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nAdaan, tujhe kya humne samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is NAdaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
Gulshan ki faqat phooon say nahi kantoon say bhi zeenat hoti hay..
jenay k lia is dunia mien gham ki bhi zaroorat hoti hay

A waiz-e-nadan karta hay to hi to qayamat ka charcha..
yahan rooz nighahien millti hien yahan rooz qayamat hoti hay..

who purs-e-shy gham ko aay hien kuch keh na sakoon chup reh na sakoon..

khamoosh rahoon to mushkil hay keh don to shikayat hoti hay..
karnay hi parry ga zabt-e-alam peenay hi parray gien ya aansoo..

faryad wa fughan say aa nAdaan tuhen-e-muhabbat hoti hay..

jo aa k giry ka daman par who aashk nahi hay pani hay..
jo aashk na jhalky aankhoon say us aashk ki keemat hoti hay
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se ayi hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar NAdaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum "Tanha" Fankaar ho jao
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur BAdaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaAdaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaAdaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ''Yamini'' kam hai
Meri nAdaan si chahat ko dil se laga ke rakhna,
Meri shararato ko apni zulfo mai uljhaye rakhna,
Ager mujh se kabhi khafa ho to dil na jalana,
bus pyar se shikayat kerna aur gale se lagana,
Shikway shikayat kaise jab ye dil de diya hai,
Apne gam ke saath apne pyar ko hai paas rakhna,
Meri ankho mai shiddat-e-muhabbat ko na dekh sako gai,
mujhay pasand hai isko ashko mai chupa rakhna
Lahoo say dil pay jo kheencha thha naqsh kaisay mita doon
Tuhi bata main tujhay apnay dil say kaisay bhula doon

Meri hasti ko to bas aas thhi teray wujood ki
Meri hasti ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Meri tanhaayi mein jo saath mera chhor na paaya
Shab-e-furqat ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Talaash-e-raahat-e-hayaat mein jeevan guzar gaya
Shaoor kho kay jo paaya hai ussay kaisay bhula doon

Wohi to yaad thhi shaAdaab wo hi yaad hai shaAdaab
Rahay gi yaad wo shaAdaab ussay kaisay bhula doon..!
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham SAdaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote
Yahan apni apni bari per sab hanste hian..Sab rote hain..dil to sab ka hota hai,aur dukh bhi sab k hote hain.kuch ashq dilon per girtey hain,kuch matti main mil jatay hain.kuch lafz Adaa ho jatay hain ,kuch honton main sil jatey hain..Mana k adhooray rehtay hain par khawab to sab k hotay hain.
cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaien
sher kahatii huii aankhen us kii

shoKh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hotii huii saansain us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thii shaamen us kii

dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii

niind is soch se tuutii aksar
kis tarah kaTatii hain raaten us kii

dOor rah kar bhii sAdaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii,