Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Rang hay, phool hay, khushbu hay, saba hay koi...

Mausam-e-gul ki tarah hum say mila hay koi...

Aik rishta jo lafzo''n may bayaa''n ho na sakay...

Hum kaun hai''n us k, aakhir hamaara kya hay koi..!
Ager jazbaat sachay ho''n...

Wafa k rang pakkay ho''n...

Ager taqdeer saathi ho...

Kisi ki yaad aati ho...

To phir aisay may laazim hay...

Palat ker daikhna ho ga...

Aisa sauchna ho ga...

Kisi ka dair tak takna...

Kisi ka chupkay say ha''nsna...

Koi ma''ni to rakhta hay...!!!
Mujh may khushbu basi usi ki hay...


Jaisay yeh zindagi usi ki hay...


Woh kahee''n aas-paas hay mairay...


Ho na ho yeh ha''nsi usi ki hay....


Ab to khuwaab hi nahee''n mairay....


Ab to neend bhi usi ki hay....


Ya to koi kami nahee''n mujh may...


Werna mujh may kami usi ki hay....!!
Aaina zarori hay...

Zindagi k che''hray ka...

Naqsh jab bigarr jaaey...

Dosto''n ki aankho''n may...

Dushhmani ubahr aaey...

Kaanch ki sunehri baat ....

Zair-e-lab bikhhar jaaey...

Lafz bay-yaqeeni k...

Chungalo''n may ghir jaaey''n....

Sakht bay-subaati ho...

Baat baat zaati ho..

Is tarah k aalam may...

Aaina zaroori hay...!
dhal ker chand main teri surat
gehry pani main tera kas dekhian gy
aur zra sa hila ker lehron ko
rat bhar tera raks dekhian gy
mugh per kion istrah se hhansta hai
dil bari mushkalon se basta hai
mery gaon ky sab ghar kachy hain
arey badal kahan barasta hai
jo kabhi laut ker nhn aye
un se milny ko dil trasta hai
ashqi ka maqam kia ho ga
jahan ulfat ka bhao sasta hai
meri manjzil jisy smgh bethy
meri khwahison ka rasta hai
dost kehti ho kion us ko mahrukh
jo tughy her qadam per dasta hai
chandni rat ky seemi se haseen ancha l main
jabkh hasti ka her ik naqsh sanwer jata hai
ik nakam musafir tery milny keliy
sir jkhukaey tery koochy se guzer jata hai
tera mera rishta kuch aisa uljha
us ko suljhaty suljhaty
apny dil ki porein zakhmi ker betha
rishta shaid sulajh na paey
lekin is ko suljhany ki dhun main
sary khwab bhula betha hon
apna ap ganwa betha hon
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
titli hai badal hai sawan hai KESAR
chanda hai tulsi hai bawan hai KESAR
jaaney issey jaana hai kahan
kitna bada hai yeh jahan
khushiya bhi oos ke boondo ki tarah hoti hai
Sawera hote he din ke ujale me gayab ho jaati hai
yeh lamhe bhi oos ke boondo ki tarah gayab ho jayenge
kuch baaki kyu nahin bachta Sameer
Ab kiya dhoondhte ho jaly hue kaghazon ki rakh mein faraz "
Wo jis ka unwan tum the wo afsana hi jal gaya.....!!