tera mera rishta kuch aisa uljha
us ko suljhaty suljhaty
apny dil ki porein zakhmi ker betha
rishta shaid sulajh na paey
lekin is ko suljhany ki dhun main
sary khwab bhula betha hon
apna ap ganwa betha hon
andhari rahoon k is safar mai
k jis k unwan hai zindagi
bohut se doshwar marhalain hain
Ghamoon k tareek silsilay han
Dukhoon se chalne har khoshi hai
bohut he mushkill hai humdam kuch aesay rastoon par tanha chalna
magar jo mujha ko cala rahi hai
tumhari yadoon ki roshni hai
Tum meri soch ho koi or tmhe soche Q
tum meri chahat ho koi or tmhe chahe Q
tum meri nazar ka aaina ho koi or tmhe dekhe Q
tum meri dua ho koi or tmhe mange Q,
Aaj Kya Dekh Key Bher Aaee Hein Teri Aankhein
Hum Pe Aey Doost Yeh Saa-At To Hameysha Gozri
Meri Tanha Sufri, Mera Moqadder Thi FARAZ
Verna Iss Shehr-E-Tamanna Sey To Dunya Gozri