Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
Hichkiyan dila kr ye kesi uljhan mai dal rahe ho. Ankhen bnd hain pher b nzr aa rahe ho.. km se km itna batado hmain... yad kr rahe ho ya apni yad dila rahe ho..?
Guzri hoi Zindagi ko kabhi Yaad na ker* Taqdeer mai jo likha hai uski Fariyaad na ker* Jo hona hai wo ho ker rahega* Tuu Fikar mai apni hansi barbaad na ker
main ser k bal girra tha gunahoon k bojh se,
dunia smjh rahi thi k sajde main prra hai,,
sajde main jab gya tou logon ne ye kha,
zalim ne etni pee hai k madhosh prra hai,,
Heena Ke Rang Mein Assar Nahin Aye Khoon-e-dil,
Haatheli Uski Saajani Hai Kya Kiya Jay,
Mera Wajood Hai Pani Mein Bulbule sa,
Dariya Mein Rawana Hai Kya Kiya Jay.