Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Dil hona chahiye jigar hona chahiye,

Aashiqi ke liye ek hunar hona chahiye.

Nazar se nazar milne par ishq nahi hota,

Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye.
Ek Naam kya Likha Tera Sahil ki Rait per,
Phir Umar Bhar Hawa se Meri Dushmani Rahi…
Meray janay pay aay jaana
pereshan tum nahin hona
kabhi chup ker nahin rona
judai zeher hoti hai
mujhay maloom hai lakin
furaq-o-hijer ka mosam
yaqeenen beet jayega
yaqeenen wasal kay lamhay
dobara lot aain gay
wohi shamain wohi raatain
wohi qissay,wohi batain
wohi phir dastaan hogi
muhabbat meherbaan hogi
Ye share main ne lekha hai Pls batana k keysa laga......

""Kitna Jald log bdal jate hain "Ali"

Hum to guse me b adaat bdal na sakay""
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Chehra hai sar-e-shaam kahin saaz kisi ney,
Ya, door se di hai mujhey awaaz kisi ne,

Totay huye taaron ko abhi jor raha tha,
Hathon se mere cheen liya saaz kisi ne,

Eik aahh to karli hai magar, soch raha hon,
Pehchan na li ho meri awaz kisi ne,

Hum kar na sakay jurrat-e-izhaar-e-Tamanna,
Is tarha kiya, baat ka agaaz kisi ne,

Geron pe inayat hai apno se shikayat,
Samjhay na kabhi aap k andaaz kisi ne,

Touba ki jabeein par hai nadamat ka pasina,
Randaana uthai nigha-e-naaz kisi ne,

Mujh pey aanso bhi amanat hain kisi ki,
Paya na gum-e-dost ka ye raaz kisi ne.!.!.!
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib,
Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,

Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
Kante Meri Anaa K Mujhe Rokte Rahe,
Main Us Ki Gali se Ban K Dewana Guzar Gaya,
Main Wo Shakhs Tha Jo Hiqarat Ki Aankh Se,
Darya Ko Dekhta Huwa Piyasa Guzar Gaya...
Aako....
Wo
yaro ki
Wo
muskrate
pal
Dil se jura hai
apna
bita hua kal
Kabhi
guzarti thi
zindagi
Waqt
bitane
me
Aj
waqt guzar
jata hai
Un
yado ko
jutane me.
Har khushi me kuch kami rahegi,
Aankhein thodi shabnami rahegi,
Zindagi ko aap kitna hi sanwariye,
Bin hamare koi na koi kami to rahegi
Kosish bahut ki samjhane ki
ankhon ko, kasam di so jane ki, bahut samjhaya fir bhi ankhen nai soyi, soyi tab jab maine bat ki aap ke khwab me aane ki.
Aansu tumhari ankho se le jayenge hum.Sapne sunhre tumhe de jayenge hum.Zarurat ho hamari to aawaz na dena?Bus mud k dekhna.Saye me nazar aajayeng hum.