Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara
Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha hoga chand

Meri karawat par jag uthe
Nind ka kitana kachcha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apane ishq may sachcha chand

Rat ke shayad ek baje hain
Sota hoga mera chand
Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha hoga chand

Meri karawat par jag uthe
Nind ka kitana kachcha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apane ishq may sachcha chand

Rat ke shayad ek baje hain
Sota hoga mera chand
Aaj Phir Aapki Yaad Ayee Barish Dekh Kar Main Reh Na Sakii Apni Bebasi Dekh Kar

Royee Apki Yaad Main Itna K Baish Bhi Tham Gaye Meri Barish Dekh Kar
Ab Neend Se Kaho Hum Se Sula''h Karlen Faraz ....
Wo Door Chala Gaya Hai Jisk Liyee Hum Jaga karte Thay
Hum Log Teray Shehar Mein Khushboo Ki Tarah Hain Faraz

Mehsoos Tu Hotay Hain Dikhai Nahi Detay
Chandni Raat Mein Aur Bhi Shidat Say Aaye Gee Us Ki Yaad
Behtar Hai Faraz So Jana Shaam Say Pehlay
Manzil-e-gham ki fazaon say lipat kar roo loon
Teray daman ki hawaon say lipat kar roo loon
Jam-e-maaey peenay say pehlay mera jee chahta hai
Bikhari zulfon ki ghataon say lipat kar roo loon
Zard ghunchon ki nigahon mein nigahein daloon
Surkh phoolon ki qabaon say lipat kar roo loon
Aanay walay teray rastay mein bichaon aankhein
Janay walay teray paaon say lipat kar roo loon
Apnay majboor taqadus k sahary sagar
Deer-o-kabah k khudaon say lipat kar roo loon
Wo Shakhs Mujhay Ik Pal Mein He Chor Gya Faraz
Jo Shakhs Ik Pal Bhi Nahi Rehta Tha Merey Baghair
Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai Faraz
Aao Uski Yaad Mein Thak K So Jaein
MuJhe LaGta Hai AiSa KaBhi KaBhi
JaiSe Woh AjNaBi LaDki
MuJh Se PYaaR KaRti Hai
MuJhe ChaHti Hai
AkSaR YuNhi ChuP ChuP KaR
DeKhTi Hai, JaNe Kia SooCh KaR
NazReiN ChuRa JaTi Hai
KuCh GhaBRa Si JaTi Hai
ApNe AaNcHal Ko HaWaooN Ke ZooR PaR LehRaTi Hai
MehSooS MuJhe Yeh HoTa Hai Ke
ShaYaD MuJhe Woh Bahut ChaHti Hai
Mujhe AiSa EhSaaS DiLaTi Hai JaiSe
Woh MuJh Se KuCh KehNa ChaHti Hai
MeRe PooChNe PaR KuCh ShaRMa Si JaTi Hai
KuCh GhaBRa Si JaTi Hai
SuNiYe Keh KaR BhaaG JaTi Hai
AjNaBi LaDki ShaYaD PYaaR KaRti Hai MuJh Se
AiSa MehSooS Hota Hai JaNe KYuN MuJhe
Dil Bhi KitNa PaGal Hai
Kia Kia SoChta RehTa Hai
KuCh MaSooM Se JazBeiN HaiN
KuCh UnDekhe SaPNe HaiN
MaGeR Woh Nahi JanTi ShaYaD
MeRi ZinDaGi Hai Woh...