zindag SMS Messages884 messages

zindagi per aik kitab likhon ga
main us me wo saare hisaab likhon ga

hui barbad meri zindagi kese?
Kese bikhre hen mere khawab likhon ga

khud ko kisi tili ka roop de kr
auron ka chehra gulab likhon ga

kisi ko llzam-e-bewafa na donga
bas apni hi qismat kharab likho ga
Kahin wo mile to usay kehna K Lot aao
Lot aao k koi shiddat se
Barri muddat se Barri muhabat se tumhara intizar kar raha hai
Lot aao k
kisi ki bahare na hone se kisi ki aankhon mei nami or zindagi mei kami bohat zyada ha
Ae Allah!
Aisa na ho ke
Aazmaaishein mujhy
gumraah kr dain
Tu mere jism
meri Rooh
mere dil
ko Pak kr de
Ye zindagi meri duniadari main uljhi hai
Jesa tu chahta hai
Ab mjhy wesa kr de
mere hr faisly main
Teri Raza ho shamil
jo tera Hukam ho
wo mere Irada kr de.....(Ameen)
(Us ne kaha)
Tum me pehli si baat nahi?
(Maine kaha)
zindagi me ab tera sath nahi,
(Us ne kaha)
Ab bhi kisi ki aankhon me doob jate ho?
(Maine kaha)
Ab kisi ki ankhon me wo baat nahi,
(Us ne kaha)
Kya mein bewafa ho?
(Maine kaha)
Mujhe ab wafa ki talash nai
(Usne kaha)
Kyun itna toot kr chaha muje?
(Maine kaha)
Mein insan ho koi pathar zaat nai.
(Usne kaha)
Bhol jao mujhe!
(Maine kaha)
Tum haqiqat ho koi khwab nai…
Saal Ka Aakhri Din Hy

Abhi Kuch Dhuup Hy Lekin

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Chalo Mil beth Ker Apne
Khasare Baant Lete Hyn

Sab Hi Rung aur Jugnuu Aur
Sitaare Baant Lete Hyn

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Tou Kyun Na Kuch Shaam Se Pehly

Jo Kuch Ghariya'n Muya'asar Hyn

Unhii Mein zindagi Ker Le'n

Kisi Ehsaas Ki Sham'ma Jala K

In Andhero'n Mein

Koi Daam Roshni Ker Le'n

Chalo Hum Dosti Ker Le'n

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy ... !!!
Lot aaye...


Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!
Kabhi Mujh Ko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Kar
Woh Badal Gaye Achaanak Meri zindagi Badal Kar

Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
Meri Hasaratein To Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Kay Qurban Dil-E-Zaar Dhuundhata Hai
Wahi Champai Ujaale Wahi Suramai Dhundalake

Koi Phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
Joh Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke

Mere Dosto Khudara Mere Saath Tum Bhi Dhuundo
Woh Yahin Kahin Chhupey Hain Mere Ghum Kaa Rukh Badal Kay

Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke
her saal jaunary,
humain kuch sapnay dikhati hai,
jis ko poora kernay main,
december aa pohanchta hai,
zindagi aur akheer bi mano,
umer kay january aur december hain,
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai,
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai,
aur umer ka december aan pohanchta hai,
aur saal ki terha,
saans bi khutum ho jati hai...
Sath chalne ke liye sathi chahiye,
Aansu rokne ke liye muskan chahiye
Zinda rehne ke liye zindagi chahiye
Aur zindagi jine ke liye aap chahiya
zindagi mili zra c thi,
kuch es m kami zra c thi

wo roz hota gaya pass mere
lekin phir b dori zra c thi

qasoor chachme awara ka zada tha
meri to marzi zra c thi

muhabbat bant di us ne zamane bhar m
jo mere hisse m ae zra c thi
Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
Ur 5 qualities:

1---------

2---------

3---------

4---------

5---------

Agar zindagi main kabhi
koi acha kam kia hota
to aj ye jaga khali na hoti