w SMS Messages18904 messages

Bheja nahi tha SHAIR ko jung ke khayal se,
Lag jaati warna aag neher mein jalaal se,
Kat kat ke gire zulm ke parcham zamin par,
Tera alam jawan hain 1400 saal se.
jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
Mehshar main bhi anmol aqeeday k iwaz hum

bakhshish jo kharidain tou gunahgar na kehna

Jannat main bhi Shabbir teray gham ki qasam hai

matam na karain hum, tou azadar na kehna
Mangnay walon k dil ko ye yaqeen hai ABBAS(a.s).
" NA " karna tera dastoor nahi hai ABBAS(a.s).
Aa rahi hai Daro deewaar say Khushbo-e-wafa.
Aisa lag raha hai is waqt yaheen hain ABBAS(a.s).
Saans leta hoon tu Jannat ki hawa ati hai,
Dil darakta hai tu Matam ki sada ati hai,
Qabar mein boolein gay Malak-ul-Maut kia tu uthata tha Alam ?
Teri maeyat se tu khushboo wafa aati hai..
Karo Ge wAfa ALI(A.S) Se Tou Kismat Bhi wafa Kare Ge,

Ghum Mano Gey Shabbir(A.S) Ka Tou ZEHRA(S.A) dwA kARE ge,

Choro Ge Duniya Rakh K Mohabbat Dil Mein ALI(A.S) Ki,

Tou Kabar Ki Matti Bhi Haya Kare Ge.
Us Roz Ek Ghair Bhi Apna Laga Mujhay
Us ne Kaha HUSSAIN to Acha Laga Mujhay

6 Mahh Kay Sagheer Nay Kia Kad Barha Lia
Aur woh Jo Hurmala Tha woh Bacha Laga Mujhay
Kitni Bulandiyoon pai hai Eaiwan-e-FATIMAH(S.A)
Roouh-ul-Ameen hai soorat-e-Darban-e-FATIMAH(S.A)
Hasil kahan demagh ko Irfan-e-FATIMAH(S.A)
Khuld-e-Bareen hai Naqsha-e-Imkan-e-FATIMAH(S.A)
Kuch is liye bhi mujh ko Tilawat ka shauq hai
QURAAN hai lafz lafz, Sana Khwan-e-FATIMAH(S.A)

jo maatam ke sada say ghar sada anjaan rehta hhai

wahan rehmat nahi hoti wahan shaitaan rehta hai

khuda bhi door rehta hai farishtay bhi nhai atay

jahan majlis nahiii hoti wo gher weeran rehta hai

Jo log satate thay Aal''e Nabi(AS) Ko

Dunya mein wohi musibat mein pare hain

JIn logon nay bandha tha tere hathon ko Zainab

Masjid mein wohi log bandhe Hath khare hain
Betho Nabi(saww) ka pass jo farman chahiye
jao Ali(as) ke pass jo emaan chahiye
awaz de raha hai jahan ko mah-e-sayam
Zahra(s.a) kay ghar main aao jo quran chahiye
Jisi Ali(a.s) kii muhabat ka aitraaf nahi ..
Laakh Sajday karay koi Gunnah maaf nahi ..
Badan pe Jama-e-Ahraam Dil mai Bughz-e-Ali,
YE Kabba pak k phairy tu hai tawaf nahi ...