w SMS Messages18904 messages

Is Aasrey Pe Dil-e-Beqarar Zinda Hai

Koi Tou Ashqo''n Ka Umeedwar Zinda Hai

Gham-e-Hussain Ko Biddat Zara Sambhal K Kaho

Abhi Hussain Ka Ek Sogwaar Zinda hai
As''hab to Sabhi The Magar waqt e Intiqal
Manga Tha Jab Nabi ne Qalam,Kyun Nahi Dya?
Bolay ye Intiqam Tha Khyber Ki Jang ka
Us waqt Nabi ne Hamko Alam Kyun nahi dya ?
Mehraab par Ali(AS) hein to mimbar pe bhi Ali(AS)
Ka''aba gawaah dosh-e-Payambar(SAww) pe bhi Ali(AS)

Khandaq, Uhad, Hunain to Khaibar mein bhi Ali(AS)
Hijrat ki shab Rasool(SAww) k bistar pe bhi Ali(AS)

Har jaa Ali(AS) mileingay na daaman bachaiye
Bachna Ali(AS) se hai to jahannum mein jaaiye
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAww) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA wOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
Abbas(as) Tajdaar-e-wafa Arjumand hain
Aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
woh Jo Rangeen Hua Khoon-e-Shabbir(a) Say
Aasmaan Se Bhe Uncha woh Parcham Karo
Karbala Say Yehi Aarahi Hay Sada
Zindagi Chahtay Ho To Matam Karo
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAww)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.

Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga


Marhab-e-waqt ko jiss teer say dar lagta hai
Run mei us teer ko baysheer(a.s) say dar lagta hai
Pay-e-Abid(a.s) mei pehnayee thee jinhon nay zanjeer
Unki aulad ko zanjeer say dar lagta hai

Submited in : In Honour Of Hazrat Hussain

Characters : 198 | Sms Length : 2

Submitted By K|-|AD!M From khi ( 0332-3160854 )