jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
Hazrat-e-Abbas(a.s.) shahay lafata k shair hain
khandaq_0_khaibaar k woh yai karbala k shair hain
kyoun na hoon her jang main yai misley haider fathayaab
woh khuda k shair yai shair_e_khuda k shair hain
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya
kya sirf muslimano ki hai hussain bashry nho ki tary hain hussain ary logo ko beydar too hoo lay do hir kooim ye pukary ge ki humary hain hussain humary hain hussain
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein