u SMS Messages24959 messages

Yun Hi Nahi Jahan Main
Charcha HuSSAIN Ka

Kuch Dekh K Hua Tha
Zamana HuSSAIN Ka

Sar De k Do Jahan Ki
Hukumat Khareed Li

Mehanga Para yazeed Ko
Sauda HuSSAIN Ka ...
HuSSAIN
Ibn-e-ALI
Waqt Ki Tehzeeb Ka Naz

Jis Ny Afsha''n Kia
Insaan Ki Toqeer Ka
Raaz

Jis Ka Har Zakhm Hy
Sarmaye-e-Taqdeer-e-
Hijaaz

Jis Ny Teero''n K
Musal''ley Py Ada Ki
Hy NAMAZ ...
Wo Jis Ne Apne Nana
Ka Wada Wafa Ker Dia

Ghar Ka Ghar
Supard-e-Allah Ker Dia

Nosh Ker Lia Jis Ne
Shahadat Ka Jaam

us Hussain Ibn e Ali
Par Lakho''n Salam ..
Andaz-e-Bandagi Hy
Nirala HuSSAIN Ka

Sajdo''n Me Lajawab Hy
Sajda HuSSAIN ka

Be-daagh Zindagi Ka Yehi
Tou Kamal Hy

Har Shaks Parh Raha Hy
Qaseeda HuSSAIN Ka
Parwardigar
Suna Hy k Tu Rehta Hy Sheh-Ragg k Qareeb

Jab Khanjar Gardana-e-HuSSAIN Pe Chala Tou Tujh Pe Kia Guzri ???

Allama Iqbal
Wo Jis Ka Mansab
Hi Tha Imamat

Tou Lehja Kitna
Mateen Hoga

Khuda Ny Masoom
Jo Banaya

Wo Ismato''n Ka
Ameen Hoga

Lab-e-Sarwar,
Lahuu Ali Ka

Batool Ki Gaud,
Husn-e-Shabbar

Ye Sari Cheezai''n
Mila k Socho

"HuSSAIN" Kitna
Haseen Hoga ...
Ye Keh Ker Farishto''n Se
JANNAT Mein Chala Jao''n Ga

HuSSAIN (r.a) k Qadmo''n k
Nishaan Dhoond Raha Hoon

~ Allama Iqbal ~
Hussain Teri
Taazeem Ja-Baja Hogi

Yazeed Teri Tazleel
Barmala Hogi

Har Ek K Dil Pe Lagi Hy
Gham-e-Hussain ki Mohar

Agar Shikast Ye Hi Hy
Tou Fatah Kia Hogi ??
Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hyn Log

Janat Tou Karbala Main
Khareedi HuSSAIN Ny

Dunya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy

Jeena ALI Sy Seekho
Marna HuSSAIN Sy
Jab Bhi Kabhi Zameer
Ka Sauda Ho Dosto''n

Qayam Raho HuSSAIN
K Inkaar Ki Terha !!!
Kia Jalwa Karbala Mein
Dikhaya HuSSAIN Ne

Sajde Mein Ja k Sar
Kataya HuSSAIN Ne

Naize Pe Sar Tha Aur
Zubaan Pr Aayatei''n

QuRA''AN Is Terha
Sunaya HuSSAIN Ne

NANA k DEEN Pe Har
Cheez Waar Dii

Kuch Na Apne Paas
Bachaya HuSSAIN Ne

Kyun AAQA (S.A.W) Ko
Na Apne Nawasey Pe
Naaz Ho

Har QAuL
MuSTAFA (S.A.W) Ka
Nibhaya HuSSAIN Ne
"If I Had An Army
Like The 72 Soldiers Of
HuSSAIN (A.S),
I Would Have Won The
Freedom For India In
24 Hours ..."

(Gandhi)