sahi SMS Messages242 messages

BOHAT UDAAS HAI KOI TERE JAANE SE
HOSAKE TO LAUT AANA KISI BAHANE SE
TUU LAKH KHAFA sahi MAGAR EIK BAAR TOO DEKH
KOI "TOOT" GAYA HAI TERE CHALE JANE SE.
Suno
Jahan sawal k badlay sawal hota hai
Wahin mohabbaton ka zawal hota hai
Kisi ko apna banana hunar he sahi
Kisi ka ban k rehna kamal hota ha
Rakhay khuda nay do rastay mujhay azmanay k liye
Woh chor day mujh ya mein chor doon usay zamanay k liye
Kaisay maang loon rub say usay bhool janay ki dua
Hath uthtay nahi hain dua mein usay bhool janay k liye
Nahi ki zindagi mein meinay koi bhi neki
Par parhi hain chhup k kuch namazein usay panay k liye
Nahi hai tu na sahi who qismat mein meri
Par aik mauqa to day usay ay RAb yeh aansu dikhanay k liye
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Shulah hun barakny ki guzarish nai karta
Such mun sy nikal jata ha kushish nai karta

Girti hui deevar ka hamdard hun lakin
Charty huy suraj ki parstish nai karta

Lahroo sy lara karta hun darya mai utar kar
sahil pay khary ho k mai sazish nai karta

Har hall mai hush rahny ka fun ata ha muj ko
Marny ki dua jiny ki huahish nai karta

Hamdard_e_ahbab sy darta hun SaaMer
Mai zahm to rakhta hun nomaish nai karta
Us Ne Ek Bar Mujh Se Poocha
K Batao
Mujhe Kitna Yaad Kerte Ho
Mai Ne Kaha
Bohat Zyada
Us Ne Doobara Sawal Kiya
K Phir Bhi Aakhir Batao To sahi
Mai Ne Kaha
Bohat Bohat Bohat Zyada
Mera Jawab Sun Ker Wo Zer-e-Lab Muskurayi
Aur Kaha
"Ab Mujhe Se Bhi To Poocho"
Aur Jab Mai Ne Poocha
To Us Ki Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi
Aur Halka Sa Gulabhi Rang
Us K Chehre Pe Aa Ker Guzar Gya
Us Ne Mujhe Doobi Hoi Nazron Se Dekha
Phir Palken Jhuka Ker Boli
"Pagal"
Yaad To Unhe Kiya Jata Hai
Jinhe Aadmi Bhool Jaye
Dard mein bhi yeh lab muskura jatay hain
Beetay lamhay hamein jab bhi yad aatay hain
Chand lamhat k wastay hee sahi
muskura kar mili thi mujhay zindagi
Teri agosh mein din thay meray katay
teri bahon mein thi meri ratein kati
Aj bhi jab woh pal mujh ko yad atay hain
dil say saray ghamon ko bhula jatay ahin
Meray kandhay pay sir ko jhukana tera
Meray seenay mein khud ko chhupana tera
Aa k meri panahon mein sham o sahar
Kanch ki tarah woh toot jana tera
Aj bhi jab woh manzar nazar atay hain
dil ki veeranion ko mitta jatay hain
kisi ko batana hai mai ne yehi
meray sang sara zamana sahi
tmhari alag hai jagah jan-e-jaa''n
her aahat pe hota hai tera gumaa''n
dua k liye haath jab bhi uthay
zuba''n sab se pehlay tera naam le
khushi ho adhuri to ghum ho siva
lagay dil nah mera tmharay bina
waqt mile to hame yaad karna, pal pal na sahi din mein ek bar yaad kar lena, dost honge aap ke 1000 par ham bhi ek hai itna yaad kar lena...
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur sahi.
saada se ik chehray per
kia jaduger si Ankhain hain
jo dekhay in ka hojaye
jo utray wo kho jaye
kitnay sapnay jag rahay hain
in palkon k saye saye..
shama seher si ,chara gar si,
namar barsi Ankhain hain
anjani pahchani si
apni aur begani si
aik hi manzer ka hissa bhi
aks bhi hairani bhi
sahil jaisi lagty hain wo aur bhanwar si Ankhain hain
saada se ik chahray per kia jadooger si Ankhain hain