saath SMS Messages417 messages

Andheri raat thi
Wo meray saath thi
Mai uss kai upper tha
Wo mere neechay thi
Tauba tuaba……
Aray logon kya samjhe aap
Wo meri cycle thi..
Bharat Ka Sabse Bada Confusion Ka Din Kaun Sa Hoga ?
Socho
Socho.
Nahi Maloom..!!!!
Jis Din Raksa Bandhan Aur Friendship Day Ek saath Padega..

'"Koi tou mile 'Jaani' jo de mera saath


"Werna Roz ki tarha Mein or Mera HAATH! :D

"Ye tou pogo wale b samajh jaenge! :p'
Purani Kahawat hai ke,

Sonay ke time Tension ko saath le ker nahi sona chaiye.

Lekin phir bhi Log pata nahi kiu??

Apni Biwi ko apne saath le ker sotay hein.???
Bhikari: Baboo 10 Rs. ka sawal hai, chaay (Tea) peenee hai.

Aadmee: Lykin chaay tu 05 Rs. ki aati hai.

Bhikari (sharmatay hoay): Woh meri girl friend bhi saath hai.
Ab na ho Qabool to Qismat ki baat hai ?

Aameen Keh rahain hain Woh meri DUA ke saath
Good morning.
“Subah ka ujaala sadaa saath ho,
“Har din har pal apke liye khaas ho,
“Dil se duaa nikalti hai aapke liye,
“Saari khushiyaa aapke paas ho.
~~ Ek Bhegi Hui Si Raat Mile ~~
~ Us Raat Me Tera Haath Miley ~
~~ Terey Lab Se Tapken Jo Bondien ~~
~~ Unhien Merey Laboon Ka saath Miley ~~
~~ Kuch Tum Bhi Behkey Behkey Se Kuch Mujhpe Nasha Sa Tari Ho ~~
~ Her Pal Mien Chaey Madhosi ~
~~ Ek Aisi Raat Hamari Ho ~~
~~ Phir Tum Aao Meri Bahoon Me ~~
~~ Mien Piyar Keron Tujhey Jee Bhar Ke ~~
~~ Tum Mujhse Thora Sharma Jao ~~
~ Sharma Ke Galey Se Lag Jao ~
~~ Mien Jitna Tumko Piyar Keroon ~~
~~ Tum Itna Betab Ho Jao ~~
~~ Hamien Piyar Ke Kuch Lamhat Milien ~~
~~ Ek Bhegi Hui Si Raat Miley ~~
Load-Shedding Mein kya,kya zulam Nahi Huwe Humray saath.
Faraz...

Naala khench Dala kisi Zalim ne Generater ki Rassi samajh kar...!
Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K saath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta

Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Kabhi Mujh Ko saath Lekar, Kabhi Mere saath Chal Kar
Woh Badal Gaye Achaanak Meri Zindagi Badal Kar

Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
Meri Hasaratein To Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Kay Qurban Dil-E-Zaar Dhuundhata Hai
Wahi Champai Ujaale Wahi Suramai Dhundalake

Koi Phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
Joh Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke

Mere Dosto Khudara Mere saath Tum Bhi Dhuundo
Woh Yahin Kahin Chhupey Hain Mere Ghum Kaa Rukh Badal Kay

Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke