saath SMS Messages417 messages

Kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo

tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar'' thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo

tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo.
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki main ne apne zakham ki tash''heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai aeinah tujhey aeineu main utar-loon

Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara theher ja isi moor per tere saath sham guzar loon

Ager aasman ki numa-e-shoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main motioun ki dukan say tayri baleeyan tere haar loon

Kahain or bant day shohratain kahain or bakhsh day izatain
Mere paas hai mera aaenah main kabhi na gard-do-ghubar loon

Kai ajnabi teri rah main mere pass say yun guzar gaey
jinhain daikh ker yeh tarap huee ter a naam ley ke pookar loon
pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye
Ik chand tanha khara raha
Mere aasamn se zara parey

Mere saath saath safr mein tha
Meri manzilon se zara parey

Teri justju k hisar se
Tere khawab Tere khayal se
Mai wo shaks tha jo khara raha
Teri chahton se zara parey

Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi to wo bhi dabi dabi
Mere lafz poorey to thay magr
teri sma`aton se zara parey

Tu chala gya mere hamsafr
Zara dekh murr k to ik nazar
Meri kishtiyan hain jali hoi
Tere sahilon se zara parey
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain
Koi Dukh Na Ho
Koi Gham Na Ho

Koi Aankh Kabhi Purnam Na Ho
Koi Dil Kisi Ka Toray Na

Koi saath Kisi Ka Choray Na
Bas Pyar Ki Nadiya Behti Ho

Kaash K Dunya Aisi Ho
Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke Log
Merey Daa An Se Ulajhtey Hain Terey Sheher Ke Log

Main Gaya Waqt Hoon, Wapas Naheen Aaney Wala
Kiun Mera Raasta Taktey Hain Terey Sheher Ke Log

Jab Bhi Aata Hey Mera Naa Terey Naa Ke saath
Meri Qismat Pey Sulagtey Hain Terey Sheher Ke Log

Aur Kiyaa Doon Tujhey Ain Apni Wafaaon Ka Suboot
Ab Merey Haal Pey Hanstey Hain Terey Sheher Ke Log
Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere saath Hai

Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai

Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai

Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat Hai

Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai

Yu Aye Zindagi Mujhe Akela Chordh Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai