“DOsTI mosam nahi, keh
apni muddat pori karay orr
rukhsat ho jay,
DOsTI sawan nahi, keh
toot kar barsay or
tham jae,
DOsTI aag nahi, keh
sulgy bharkey or
bujh jae,
DOsTI aftab nahi, keh
chamkey or
doob jae,
DOsTI phool nahi, keh
khiley or
phir murjha jae,
DOsTI to saans hai jo chaley to sab kuch
toot jae to kuch bhi nahi…….. …
Ache dost “haath” aur “ankh” ki tarha hote hain,
Jab “hath” ko takleef hoti hai to “Ankh” roti hai,
Aur jub “ANKH” roti hai to “Hath” ansu pochtay hain.
Aapki Dosti hamein is kadar pyaari hai, Jis tarah bin paani ke machli bechari hai, Ab na aur kuch khawish hai, Bus tum DOsT bane raho ye hi tum se guzarish hai ek
Methi Methi Yadon ko Palko pay saja lena.
sath Guzre Lamhon ko Dil may Bsa lena
Main to Brson ka PYAsA hoon ” FARAZ ”
BIJLI ajay to yaad se Motor chala dena