s SMS Messages25826 messages

Ye hum tasleem kartay hein,

Tumhein fursat nahi milti,

Hamaray wastay tum ko,

Koi saa''at nahi milti,

Hamari soch k mehwar,

Kabi ik pat to socho tum,

Tumhein hum yaad kartay hein,

Aur itna yaad kartay hein,

K KHUD KO BHOOL JAATAY HEIN ! ! !
Meri Zindagi k Mizaj ka

yeh chiragh kuch naya nahi

kabhi roshni, kabhi teerghi

kabhi jala hwa, kabhi bujha huwa


Mri Zindagi bhi meri nahi

ye hazaaar khano ma bat gae

mujay ik mut-the zamein day

yeh zamein bhi kitni simat gae


yeh jo aag ki bail thee

mray tan badan say lipat gae

mujay siskion nay jaga dia

mri kache neend uchat gaee


JAHAN MERA LIKHA GIA

WAHIN ROsHNAI ULAT GAE
Wo jisay samajhtay thay zindagi
Meri dharkano ka faraib tha
Mujhay muskrana sikha k wo
Meri rooh tak ko rula gaya
Wo k jis ko panay ki chah mein
Mein kabhi khilta gulaab thi
Meri pati pati bikhar gae
Mujhay aisi thokar laga gaya
Ajab shakhs tha wo ay zindagi
Jisay samjh k bhi na samajh sakay
Mujhay chahta bhi gazab ka tha
Ye zaat firqay ka tu ik bahan tha
Usay tu youn bhi hamein chor jana tha
Hum us k aik ghar ko apna samajhty rahay laikin
Us ka tu har morr par aashiyana tha
Yeh us ka qasoor nahi wo majboor tha shayad
K uski fitrat mein hee dil dukhana tha
Mujh ko talab thii faqat uski chahat ki
Aur uski tu chahat hee sara zamana tha
zindagi me ek sapna tha
koi apna sa tha
jo apna tha wo ek
sapna ban k reh gya.......
hey its MY POETRY gv cmnts plzzzz
Teri baahon mein meri zindagi guzar jaye,
ankhon mein saanson mein dhadkano mein tu sama jaye,
ho na tu kabhi mujhse juda ek pal ke liye bhi,
rahe tu itne kareeb mere zindagi bhar ki tu mere rom rom mein bas jaye

Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezaar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe dhundti rahe meri nazar.
Ye Namumkin Hain Qasam say Main Rahon Tum say Juda
Meri Dunyain Hain Muhabbat Tum Muhabbat K Khuda
suno
Hum toot jaein gay
K doori she na paein gay
Judai maar dalay gee
suno!
Yeh aankhein bojhal hain
Inhein kis tarha behlaein
suno!
Hum so na pein gay
Kabhi khush ho na paein gay
Judai maar dalay gee
suno!
Ye dil tumhara hai
Na tum bhi ab guzara hai
suno
Kuch waqt do hum ko
Bana lein dost iss ghum ko
Humein maloom hai aakhir
Judai maar dalay gee
Ab Mein samjha Us Ki Chamakti Aankhon Ka Raaz
Wo Rota Nahi Aansoun Ko Qaid Kar Laita Hai
"Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye"
tere siva nahi jachta koi nigahoon mai
jo to kahe to bikhar jaaon teri raahon mai
nazar kaneez teri dil ghulaam hai tera
likha hua mere chehre pe naam hai tera.,