Kabhi
saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yoon hi qarz baraabar mera
toot jaate hain kabhi mere kinaare mujh mein
doob jaata hai kabhi mujh mein
samandar mera
ki
si
sehra mein bichhad jaayenge
sab yaar mere
ki
si jangal mein bhatak jaayega la
shkar mera
bewafa tha to mujhe poochhne waale bhi na the
bewafa hoon to hua naam bhi ghar-ghar mera
kitne han
ste hue mau
sam abhi aate lekin
ek hi dhoop ne kumhla diya manzar mera
aakhiri jur''a-e-pur kaif ho
shaayad baaqi
ab jo chhalka to chhalak jaayega
saagar mera