kuch SMS Messages1498 messages

ye mumkin nhi k sab log hi badal jaty hein

kuch halaat k saancho me bhi dhall jaty hein

khali hathon ko kbhi ghor sy dekha hy Faraz

kis tarha log lakeeron sr nikal jaty hein
kuch Iss Tarah Usne Mujhe Bewaqoof Bana Diya

"FARAZ",

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.
Muddat se jin ki aas thi, Woh milay b tou kuch youn milay,

Hum Nazar utha kar tarrap uthay, Woh nazar jhuka kar guzar gaye...
Kaash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.
Tere ronay se tere saray
Ansuon ko pi jata.

Raat ko be-khabri me Jo
Tujhe mera khayal aata.
Tu main teri ankhon me
kuch pehlay se ziada
Tehal jata.

Subha jab tum apne
Naram hathon se saf
karti mujhe.
Tu main tere nazuk
Hathon pe lag sa jata.

To apni ankhon me
Hamesha pyar se lagati
Mujhe,
Tu na kabhi khud se
Juda kar pati mujhe.

Youn teri rangeen dunya
Me rehta madhosh.
Umar bhar me karta teri
Ankhon ko roshan.

Kash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.

¤KinG Of SmS¤007
Boy proposing a girl :

Me tumhare ley kuch b kar sakta hn.


Girl : wada ?


Boy : Haan paka wada,kuch b kr sakta hn.


Girl :
Phir Ainda muje apni shakal b mat dekhna..
Be Sabab Youn Hi Sar-E-Shaam Nikal Aaty Hain,

Ham Bulaien Tu Unhen Kaam Nikal Aaty Hain,

Koi Hamen Shouq Tu Nahi He Aawargi Ka,

Ham Tu Unki Galiyon Me Hamkalam Hone Aaty Hain,

Unki Jafaon K Zakham Kehte Rehte Hain kuch Is Tarah,

K Raat Ka Andhera Charhte Hi Dard Tamam Nikal Aaty Hain,

Kia Bataon In Husn Walon Ki Tujhe !...Wasi...!

Ham Bulain Tu Parda, Warna Sar-E-aam Nikal Aaty Hain.

=> 03337656310
Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Kab usay intizaar mera tha
Ye to bas aetibar mera tha

Meri khush fehmi thi shayad
K us pe kuch ikhtiyaar mera tha

Kabhi uski bhi aisi haalat thi
Jaise dil-e-beqaraar mera tha

Ghamon mein qaid kar gaya mujhe
Wohi jo gham gusaar mera tha

Mein bhala kaise bhool jaon usay
Jo kabhi aik baar mera tha
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker kuch Nahi Milta.
kuch TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo Teri Ankhon K Khawb Sary Wo
Baten Sari Hisab Sary Sawal Sary
Jawab Sary
Wo khushain Sari
Azab Sary
Nasha Tha Jo Wo Utar Giya Hai,
.
kuch TO HAI TU BADAL GYA HAI!
Jo Tery Milny Ki Arzo Thi
Jo Tujko Pany Ki Justju Thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo Teri Ankhon Main Roshni Thi
Jo Teri Baton Ki Rangini Thi
Jo Teri Sanson Ki Tazgi Thi
Jo Tery Lehjy Main Chashni Thi
Wo Sara Meetha Pighal Gaya Hai
.
kuch TO HY TU BDAL GYA HY"
Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta

Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Saal Ka Aakhri Din Hy

Abhi kuch Dhuup Hy Lekin

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Chalo Mil beth Ker Apne
Khasare Baant Lete Hyn

Sab Hi Rung aur Jugnuu Aur
Sitaare Baant Lete Hyn

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Tou Kyun Na kuch Shaam Se Pehly

Jo kuch Ghariya'n Muya'asar Hyn

Unhii Mein Zindagi Ker Le'n

Kisi Ehsaas Ki Sham'ma Jala K

In Andhero'n Mein

Koi Daam Roshni Ker Le'n

Chalo Hum Dosti Ker Le'n

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy ... !!!